Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Monday, December 18, 2017

Kabtak khamosh rahegi tumhari zubaan

Kabtak khamosh rahegi tumhari zubaan,
Ab toh kuch keh do.

Nigahon se' kabtak karte' rahoge' woh ishare',
Ab toh kuch keh do.

Aapke' haseen rukh pe aapke' haal-e-dil ka alam chaya hua hai,
Ab toh kuch izhaar kar do.

Jahaan ke' iss shor sharabe' ke' beech,
Hum aapke' jazbaat samajh rahe' hain,
Magar unhe' ab toh zubaan pe' laa do.

Mohabbat ki do baatein naa sahi,
Apne' shikve' gile' hi sahi,
Magar ab toh kuch keh do.

Saturday, December 16, 2017

Kal khuda ke' kisi viraan dar par

Kal  khuda ke' kisi viraan dar par,
Ek lawaris laash  paayi gayi.

Kehte' hain,
Kabhi isi dar par,
Khuda ke' kai bande' aate' the',
Apni mann ki muraad poori kar,
Isi jagah par,
Khuda ka shukria ada karte' the'.

Maana ki aaj ke' daur  mein,
Aab-o-daana ki talaash mein,
Kai din raat bhatakte' hain,
Aur kai jeene' ki khatir marte' hain.

Magar aab-o-daana ko talash kar,
Woh khuda ka shukria kab aur kahaan ada karte' hain?

Iss dar ki viraangi,
Khamosh hote' hue' bhi,
Kai baatein keh jaati hain,
Koi aur sune' ya naa sune',
Humse' kai shikve' kar jaati hain. 

Thursday, December 14, 2017

Aaj iss mehfil mein hum shayad khud ko sambhal nahi payeinge'

Composed the following for a farewell of  a dear colleague:

Aaj iss mehfil mein hum shayad khud ko sambhal nahi payeinge',
Aapko ruksat karne' ka waqt aa gaya,
Yeh aapko shayad keh nahi payeinge'.

Waqt naa jaane' kaise' pal bhar mein hi beet gaya,
Abhi toh humne' aapki shaksiyat ki thek se' tareef bhi nahi ki,
Ke' iss taqdeer ne' hamara naata yoonhi torh diya.

Khush raho ae' dost,
Nai manzilein tumhari raah dekh rahi hain,
Ab hum shayad khwabon mein  hi milte' raheige',
Hamari nigahein ab unn khwabon ka intezaar kar rahi hain. 


Monday, December 11, 2017

Saara saal beet gaya hai

Saara saal beet gaya hai,
Magar yeh kal ki baat lagti hai.
Jab humne' iss saal ki shuruyaat ki thi.

Itna waqt guzar gaya hai,
Magar kuch hi lamhon ki baat lagti hai.
Jab hamare' samne' waqt hi waqt tha.

Sochkar yoon ghabra jaata hoon,
Iss waqt ki raftaar kya hai?

Dekhte' dekhte' hum dekhte' hi reh jaate' hain,
Aur ek anjaani bhaag daurh mein ulajh kar,
Iss zindagi ke' haseen lamhein humse' kitni dooor chale' jaate' hain.

Kitni ajab dastaan hai?
Woh jo kabhi haqiqat tha,
Ab sirf ek khayal ban kar reh gaya hai.

Woh jo kabhi apna tha,
Ab sirf ek sapna reh gaya hai.

Sapno ki kya kadar karein?
Chalo unn aane' waale lamhon ko hum iss tarah guzarein,
Ke' 365 din baad,
Humein mil jaaye' iss zindagi ki tamam khwaishein.  

Friday, December 8, 2017

Aapki iss kadardangi ki kya baat karoon?

Aapki iss kadardangi ki kya baat karoon?
Iski badaulat humne' khud ko kuch samjha hai.
Aapki iss nazar-e-inayat ki bhi kya baat karoon?
Iski badaulat iss jahan ne' hamein ab janaa hai.

Aisi chaahat ki kadar karna,
Toh koi humse' seekhe',
Jise' paane' ke' liye' naa jaane' kahan kahan,
Humne' ise' pukaara hai.

Aur aisi nazar-e-inaayat ki tadap,
Toh koi humse' jaane',
Jiske' ek katre' ke' liye' bhi,
Naa jaane' kya kya waqt humne' guzaara hai.

Sach, aapki iss kadardangi ki kya baat karoon?
Iski badaulat humne khud ko kuch samjha hai,
Aur aapki iss nazar-e-inaayat ki bhi kya baat karoon?
Iski badaulat iss jahaan ne' hamein ab jaana hai.

Thursday, December 7, 2017

Jashn-e-salgirah ke' iss mubarak mauke' mein

Composed the following as a gratitude to my colleagues, at a birthday celebration of mine at my workplace:

Jashn-e-salgirah ke' iss mubarak mauke' mein,
Jahan shamil ho gaye' hain aap sab,
Iss rang bhare' mehfil mein.

Aap sabse' badhai lekar hum ho gaye' aap sabke' deedar,
Aur shayaad shariq ho gaye' aap sabke' dil-e-mehfil mein.

Iss zindagi ke' ajeeb-o-gareeb daur mein,
Humne' dekhi hain,
Behtareen se' behtareen mehfilein.

Magar pal do pal ki woh mehfilien,
Aati rahi aur jaati rahi.

Aap sab ko ab kya kahoon aur kya naa kahoon?
Hum toh bas qaid ho gaye' tamam umar ke' liye',
Aap sab ke' dil-e-mehfil mein. 

Tuesday, December 5, 2017

Aapki salgirah ke' iss mubarak mauke' par

Composed the following for a birthday bash of a dear friend:

Aapki salgirah ke' iss mubarak mauke' par,
Mein aapko kya nazrana pesh karoon?
Yeh soch kar aaj kuch pareshaan sa hoon.

Aapki iss mehfil mein,
Naa jaane' kya kya tohfe' saje' hain,
Yeh dekh kar kuch hairan saa hoon.

Sochta hoon, ek tohfe' ke' saath saath,
Kyon naa aaj aapke' shaan mein kuch arz karoon?

Sach, zindadilon ke' iss riyasat ke',
Aap woh betaj badshah ho,
Dil mein kuch bair nahi,
Aur kai chehron par muskurahat ki khaas wajah ho.

Mubarak ho yeh salgirah mere dost,
Bane' raho saalon saal,
Zindadilon ke' woh betaj badshah mere' dost.

Yahi nazrana aaj lekar aaya hoon,
Aur isi se' aapki iss mehfil ko aur sajaane' aaya hoon.


Saturday, December 2, 2017

Hum dhoondte rahe' jise' umar bhar

Hum dhoondte' rahe' jise' umar bhar,
Woh aur koi nahi khud ki hi pehchaan thi.
Jise' paakar hum bhi khush hote',
Woh aur koi nahi ek alag hi muskaan thi.

Lakhon karoron ki iss duniya mein,
Mein akela kis kaam ka tha?
Jise' dekh kar koi ruk jaata,
Mein woh shaksiyat kis naam ka tha?

Ek naam hote' hue' bhi,
Mein naami hona chahta tha,
Aur kai logon ko jaante' hue' bhi,
Mein mashhoor hona chahta tha.

Kitni ajeeb baa thi,
Hairat kar dene' waali woh baat thi,
Anginat logon ke' beech hokar bhi,
Kitna akela tha mein.

Magar woh kuch ajnabi hastiyon se',
Mujhe' mili kitni saari khushiyan,
Jo bhula de' meri uss khoj ko,
Mil gayi aisi hi kuch meharbaniyan.  

Shayad isi liye',
Hum dhoondte' rahe' jise' umar bhar,
Woh aur koi nahi khud ki hi pehchaan thi,
Jise' paakar hum bhi khush hote',
Woh aur koi nahi ek alag hi muskaan thi.