Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Friday, July 28, 2017

Aaj ki shaam kuch aisi hi hai

Aaj ki shaam kuch aisi hi hai,
Hawa mein kuch khushboo hai,
Aur rahat hai.

Hum idhar udhar ke' mahaul ko dekh rahe' hain,
Kahin pe' jashn hai,
Kahin pe' mayoosi hai,
Kahin pe' kuch log aise' hi hain.

Kyon nahi har taraf jashn ka mahaul hai?
Kya shikva hai taqdeer se' unko?
Kyon nahi woh gulaab ke' saath kaanton ko bhi kubool karte' hain?

Jaane woh kaise' shaksiyat hain?
Jo kagaz ke phoolon ko bhi mehka dete' hain,
Yahan toh kai gulistaan ki mehak ko bhi nazarandaaz kar dete' hain.

Iss jahaan mein  jeete' toh hain sab,
Magar jeene' ke' andaaz se' kai bekhbar hain,
Hanste' toh hain sab,
Magar muskurane' ke' andaaz se' kai bekhabar hain. 

Thursday, July 27, 2017

Khamosh hain sab

Khamosh hain sab,
Kuch zehen mein kashmakash hai.

Meri awaaz ab kuch tanhai mein hai,
Kuch dil-o-dimag mein kashmakash hai.
            
Socha tha aaj kuch mauj masti ka jashn hoga,
Magar lagta hai aaj sabke' andaaz mein kashmakash hai.

Majboor hain hum,
Aur shayad majboor ho tum sab.

Kya ajeeb ittefaq hai,
Aaj hum sab ke' iss majboori mein bhi,
Shayad koi kashmakash hai.



Wednesday, July 26, 2017

Jashn- e-azaadi ka yeh mahaul

Jashn- e-azaadi ka yeh mahaul,
Hamara Tiranga jagah jagah par,

Hamari pehchan ka ahsaas dila raha hai.

Aaj kai shaheedon ki woh kurbaniyan,
Hamein yaad aa rahi hai,
Unke roohon ko shaayad,

Hum khushi ka naya andaaz de' rahe' hain.

Salaam hai unn tamam kurbaniyon ko,
Salaam hai unn anginat shahadaton ko,
Jiski wajah se' aaj humari yeh azaadi salaamat hai.

Hindustan ke' iss bemisal gulistan mein 
Naa Jaane' kitne' rang birange' gul khile' hain,
Kitni tarah ki mehak hai,
Khubsoorti hai, aur raunaq hai.

Kisi bade' shaksiyat ne' bhi kya khoob kaha hai:
"Saare jahan se achcha, 
Hindustan hamara,
Hum bulbule hein iske',
Yeh gulistan hamara."

JAI HIND!!!!

Monday, July 24, 2017

Barsaat mein rim jhim rim jhim karti yeh boondein

Barsaat mein rim jhim rim jhim karti yeh boondein,
Kuch suron mein apni hi sur mila rahi hain.

Hum inn boondon mein kuch beete' hue' palon ko yaad karte' hain,
Jawani mein apni uss nadaani ko bhi yaad karte' hain.

Kya alam tha woh bhi,
Jab kaale' ghane' baadalon mein ek paigham chupa rehta tha,
Aaj iss umar mein uss paigham ko phir dhoondte' hain.

Rim jhim ki wahi dhun,
Ab shayad kuch aur kehna chahte' hain.

"Tum ab woh nahi ho jo tab the',
Baat tab kuch aur thi aur ab kuch aur hai",
Mujhe' shayad yeh samjhana chahte' hain.

Hum apne' aap ko kisi tarah samjha kar,
Rim jhim ke' iss sur ko apne' zehen mein sama lete' hain.

Aur unn beete' hue' waqt ki nadaani ko,
Ek pyaara sa khwab samajh kar,
Mann ki mann muskura lete' hain.

   

Friday, July 21, 2017

Parda nashinon ke' shehar mein

Parda nashinon ke' shehar mein,
Parda nashinon ke' beech,
Kitni bechaini mehsoos hoti hai.

Hum khwab hi dekhte' rehte' hain unn sab ki khubsoorti ka,
Magar woh beparda hone ka naam hi nahi letin hai.

Meri yeh aarzoo mujhe' kisi junoon mein qaid kar rahi hai,
Meri yeh junoon mujhe' kisi deewanepan ki taraf le' jaa rahi hai.

Kya hoga ab mera bhi anjaam?
Yeh soch kar mein raatein yoonhi guzaarta hoon.

Baar baar asmaan ki taraf dekhta hoon,
Badalon ke peeche' chupa woh chand mujhe' yeh ahsaas dilata hai,
 “ kya dhoond rahe' ho tum unn parda nashinon mein?
Zara meri taraf bhi dekh lo,
Ahsaas ho jayega tumhe' khubsoorati ke' naye' andaaz ka.”

Thursday, July 20, 2017

Baithe hain aaj poore' hosh mein

Baithe hain aaj poore' hosh mein,
Jaam ko kiya dooor aaj kuch alagh mahaul mein.

Kya baat hai bin jaam ke' nashe' mein,
Soch theek nahi magar nazar kaboo mein hai,
Iss alagh mahaul mein.

Apne' armaano ko kaboo mein kar hi dala iss majboot jee ne',
Haan aaj mein kisi aur josh ke' maze’ le' raha hoon,
Kyonki mahaul hai bin kisi jaam ke'.   

Tuesday, July 18, 2017

Tanhai ka mahaul hai

Tanhai  ka mahaul hai
Sama hai bechaini ka.

Kya kayamat hai mere' zehen mein,
Haqiqat ko khabar nahi hai.

Zindagi ka doosra naam kashmakash hai,
Vardi ke bina har insaan ek jaanbaaz hai.

Kyon phir mujhme' aaj yeh fikar hai?
Aage kya hoga?
Kyon yeh soch hai?

Humne' kasam khayi hai,
Akhri saans tak,
Iss kashmakash se' jung karne' ki.

Kya anjaam ho kya pata?
Magar jaanbaaz ki tarah aakhir dum tak jeene' ki.

Aaj iss waqt hum doobe' hain jaam ke' nashe' mein,
Ab sarfaroshi ki tamanna hamare' dil mein hai,
Dekhna hai ke zor kitna baazue' kaatil mein hai.     


Monday, July 17, 2017

Mere' apnon ki mehfil hai

Mere' apnon ki mehfil hai,
Apnapan ki mehak ka koi jawab nahi.

Haal-e-dil sunane' ki arzoo jab jab hoti hai,
Suna hi deta hoon yahan, koi hichkichahat nahi.

Zindagi ke' iss ajeeb-o-gareeb safar mein,
Milte' rehte' hain kai magar koi apne' nahi.

Koshish hoti rehti hai anjanon mein apnapan dhoondne' ki,
Magar kamyabi aasani se' hoti nahi.

Din bhar ki mushakkat (mehnat) ke' baad,
Yahin par kuch sukoon ki talaash karta hoon,
Kahin aur nahi.

Maloom hai mujhe' ke aap sap mere' iss jazbaat ki kadar karte' hain,
Kisi ko koi shikva nahi aur koi gila nahi.😄

Saturday, July 15, 2017

Kisi pe' kal kayamat aayi thi

Kisi pe' kal kayamat aayi thi,
Mere' dil pe' aaj ek gehri chot pahunchi.

Woh aaj mere' paas aa kar ashq bahane' lagi,
Aur main apne' ashq pi kar reh gaya.

Kitni zaalim hai yeh zindagi,
Masoom par bhi zulm ki barsaat hoti hai.

Mera zameer mujhe' aaj dhikarta raha,
"Tum kis kaam ke' ho?"
Yeh keh kar mujhe' taane' deta raha.

Main josh main aa kar kuch kar baitha,
Shayad aaj “sarfaroshi ki tamanna mere' dil mein thi”.

Apne' hosh main josh mila kar,
Kisi ki ashkon ko muskurahat main badal daala!!!!

Parvar digar meri gustakhi ko maaf kare',
Unke' ashq ne' meri zameer ko jaga daala.

Aur zindagi ke' iss maidan main 
Mujhe' kisi par elaan-e-jung karne' par majboor kar daala.




Thursday, July 13, 2017

Aaj shaam ki haseen chandni ke' tale’

Aaj shaam ki haseen chandni ke' tale’,
Pyala-e-jaam ke' sang,
Hum kuch ajeeb-o-garib khayalon mein doobe' hain.

Nasha chandni ki lajawaab roshni ka hai,
Kuch jaam ne' bhi kaam kiya hai.

Khayal unke' saaye' mein  hamein yoonhi cherti hai,
Kuch haal-e-dil izhaar karne' ke' liye' behkaati hai.

Hum chandni ki roshni ko adaap kar,
Apne' jaam ke agosh men kho jaate' hain.

Apna haal-e-dil pharmane' ki khatir,
Kuch yoonhi likh jaate' hain.  

Itni khamoshi hamein khauf dilati hai,
Sannate mein bhi kisi ki cheekh sunayi padti hai.

Yeh kya mahaul hai khamoshi ka?
Mujhe' toh sunsaan rahon par bhi,
Unn sab ki parchaiyan dikhayi deti hai.

Wednesday, July 12, 2017

Navneet Dhawan's performance at The Suryaa New Delhi

Zindagi ki ek ajeeb rasm ada ki humne' aaj

Composed this for farewell function of a dear colleague:

Zindagi ki ek ajeeb rasm ada ki humne' aaj,
Unko kaam se' alagh kiya aaj.

Umar ho gayi thi unki woh,
Ab iss mahaul se' dooor chale' gaye' woh.
  
Unki nazron mein aaj bhi ek umeed thi,
 Shayad wapas bula lenge' unko hum.

Unki umar ho gayi toh kya hua,
Mann mein abhi bhi chalte' rehne' ki aarzoo salaamat thi.

Hum unhe' dekhte' hue' bhi dekh nahi paa rahe' the',
Aur unke' dilon mein kya beet rahi thi,
Yeh theek se' samajh bhi nahi paa rahe' the'.

Ek din hum bhi zindagi ki iss ajeeb rasm ko nibhayenge',
Aur iss rang bhare' mehfil ko alvida kahenge',

Jaane woh pal bhi kaise' beete' ga,
Jab humari nazron mein naa jaane' ka woh ishara hoga.
    

  

Tuesday, July 11, 2017

Saal beet rahe' hain

Composed this while fondly remembering my carefree days when my Dad was around, and comparing the same to the present times without his benign presence:

Saal beet rahe' hain, din bhi yoonhi kat hi jaate' hain,
Unki yaad hamein beete' hue' zamaane' ki taraf kheenchte' hi rehte' hain.

Kya befikar ki zindagi thi woh bhi,
Jab unka saaya hum par tha,
Jab unki naraazgi mein bhi ek pyar chupa hota tha.
  
Aaj iss umar mein bhi,
Hum khud ko unke' bina kitna lachaar samajhte' hain,

Hamare' walid sahib ki rooh shaayad ab bhi hamare' kareeb hai.
Yehi soch kar hum iss zindagi ki jung rozana larte' hain.

Monday, July 10, 2017

Masroof yeh zamaana hai

Masroof yeh zamaana hai,
Waqt ki kami hai.

Kaun kiski fikar karta hai?
Zamaane mein hamdardon ki kami hai.

Hum idhar udhar ki khabaron mein doobe' hue' hain,
Dil mein ek dard si hai.

Kyon uspe' aur ispe' kayaamat aayi?
Kya kasoor tha unka?
Yeh sawaal ab mere dil-o-dimag ko tadpa rahi hai.

Zindagi toh chalte' rehne' ka naam hai,
Kal kaun kiski fikar karegha?
Yeh haqiqat iss jahaan ki ajeeb hai.

Masroof rehna hi shayad iss zindagi ka raaz hai,
Ruk ruk kar peeche dekhna,
Khud ko hi tadpaana hai.

Dua karte' raho iske' liye', uske' liye', aur sabke' liye',
Yahi apni zameer ko khush karne' ka ek raaz hai.

Friday, July 7, 2017

Dekhe' the' kuch khwab humne' bhi

Dekhe' the' kuch khwab humne' bhi,
Shaan, shaukat, shohrat, aur beshumar daulat ki.

Socha tha humne' bhi,
Honge' iss jahaan mein ek shaksiyat auron se' alagh hi.
     
Naseeb ko naa jaane' kya manzoor tha,
Auron ki mehfil mein anjaan ban kar reh gaya.
Shaksiyat toh kya, sirf ek alagh naam se' hi jaana gaya.

Kyon woh purani khwaishen mujhe' tadpaati hain?
Tum toh sirf ek aur insaan ban kar reh gaye',
Yeh baar baar suna kar muhje' khud se' hi nafrat kyon karvaati hai?

Tuesday, July 4, 2017

Kal zindagi se mayoos ho kar

Kal zindagi se mayoos ho kar hamne' kuch mayoosi ka kalaam likha,
Shaayad aap sab ko bhi apni mayoosi mein shaamil kar diya.

Magar aaj zindagi ki kuch khubsoorti ko phir dekha,
Gulistaan mein kuch gulon ki mehak ko phir se' mehaka.

Sochta hoon uss parvar digar ki bhi kya marzi hai?
Agar mayoosi nahi hoti, toh khushi ki kya kadar hoti?
Khaane' mein agar mirchi nahi hoti toh meethe' ki kya kadar hoti?

Yeh soch kar humne' aaj mayoosi ko dooor kar diya,
Aur aap sab ko phir se' muskurane' par shaayad majboor kar diya.

Saturday, July 1, 2017

Yeh zindagi kitni suhani lagti thi

This has reference to a dear friend's state, who was lying in critical condition in a hospital, only to leave for his eternal journey few days later:

Yeh zindagi kitni suhani lagti thi,
Jab tak hum kisi bhi takleef ke' shikar nahi the’.

Har taraf kisi jashn ki mehak aati thi,
Jab tak hum unme' shaamil hone' ki himmat rakhte' the’.

Kuch din pehle' iss zindagi se' nafrat hone' lagi thi,
Ab hospitalon se' azaadi chaahta hoon.

Unn doctoron se' dooor hona chaahta hoon,
Aur afsos, apne' azizon ko ab alvida kehna chaahta hoon.

Shayad mera intezaar kar raha hai koi aur suhana safar,
Main uss suhane' safar mein ab jaldi hi jaana chaahta hoon.