Parda nashinon ke' shehar
mein,
Parda nashinon ke' beech,
Kitni bechaini mehsoos hoti
hai.
Hum khwab hi dekhte' rehte' hain unn sab ki khubsoorti ka,
Magar woh beparda hone ka
naam hi nahi letin hai.
Meri yeh aarzoo mujhe' kisi
junoon mein qaid kar rahi hai,
Meri yeh junoon mujhe' kisi
deewanepan ki taraf le' jaa rahi hai.
Kya hoga ab mera bhi anjaam?
Yeh soch kar mein raatein
yoonhi guzaarta hoon.
Baar baar asmaan ki taraf
dekhta hoon,
Badalon ke peeche' chupa woh chand mujhe' yeh ahsaas dilata hai,
“ kya dhoond rahe' ho tum unn parda nashinon
mein?
Zara meri taraf bhi dekh
lo,
Ahsaas ho jayega tumhe' khubsoorati ke' naye' andaaz ka.”
No comments:
Post a Comment