Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Monday, July 31, 2023

Kaise kahein ke ab humara kya mizaaz hai...

Kaise kahein ke ab humara kya mizaaz hai,

Kal tak toh mayoos tha,

Magar aaj kuch aur hi baat hai.


Kehte' hain, badalte' mizaaz iss zindagi ke' andaaz hain,

Aaj agar yeh mayoos hai toh kal kisi josh mein bhi aa sakta hai.


Magar, jab badalte' mausam ko hum iss khubsoorat zindagi ka andaaz maan lete' hain,

Toh yahi aalam apne' mizaaz ka kyon nahi ho sakta hai? 

  


Monday, July 24, 2023

Aap mein se' kuch toh yeh soch rahe' honge'....

Aap mein se' kuch toh yeh soch rahe' honge',

Ke' abhi tak mujhse' koi shayari kyon nahi aayi?


Kya bataaon ke' kya maajra hai?

Mann mein kuch aisi hi baat hai.


Zindagi toh har pal koi naa koi naya rang dikhati hai,

Yeh baat abhi tak mere' hi nahi kaiyon ke' samajh mein nahi aayi.


Shayari toh dil ki hi ek awaaz hai,

Jise' samajhna sabke' bas ki baat nahi,

Yeh nazariya shayad kuch kuch ke' samajh mein nahi aayi.


Maidan-e-jung mein jaanbaaz jung kabhi kabhi ladte' hain,

Magar zindagi ke' jungon ka koi hisaab nahi,

Yeh haqiqat kuch kuch ke' samajh mein ab tak nahi aayi.


Kal kya hoga mujhe' kya pata?

Mujhe' hi kya yeh kisi ke' bhi samajh mein nahi aayi.


Abhi toh iss pal ko apna muqaddar maan kar zindagi ke' maze' le loon,

Yeh baat mujhe'  ab sahi samajh mein aayi.    



Monday, July 17, 2023

Bheeng gaya phir yeh sama...

Bheeng gaya phir yeh sama,

Sote' hue' armaanon ko phir jagaa diya.

Ab tak toh iss dhalti hui jawaani ki fikar nahi thi,
Magar ab iss khayal ko bhi yoon jagaa diya.

Iss waqt mahaul hi kuch aisa ban gaya,
Tanhai mein bhi jaam ne' kisi mazedaar mehfil ka ahsaas dila diya.

Beeti hui jawani ke' din ab khwab ban kar reh gaye',
Yeh haqiqat bhi ab dheere' dheere' meri samajh mein aa hi gaya.

Suna tha humne' bhi - "chor chori se' jaaye' par hera pheri se' naa jaaye",
Yeh bhi mere' shararti zehen mein sama gaya.

Chalo, umar dhal gayi toh kya ghum hai,
Uss Maalik ki meharbani se' dil toh abhi bhi jawaan hai,
Issi khayal ne' mujhme' jawaani ka woh junoon phir jagaa diya.😄👍

Wednesday, July 12, 2023

Barsaat ke' iss mausam mein

Barsaat ke' iss mausam mein,

Kuch masti ka khayal aaya.


Umar toh aisi masti ki beet gayi hai,

Yeh bhi mere' zehen mein sawaal aaya.


Kambakht mann ko ab kaun samjhaye'?

Iska bhi koi ilaaj samajh mein nahi aaya.


Purani beeti masti ke' harkatein badalon ki tarah jaise' mann mein chaa gaye',

Ab inse' barsaat ka bhi sawaal aaya.


Filhaal, hum pyala-e-jaam ke' sahare' aise' waise' khyalon mein doobe' hain,

Kisi aur fikar  ka sawaal hi nahi aaya.


Chalo, waqt ke' har pal ka mazaa lekar zindagi jeena seekho,

Yahi paigham baar baar mere' dil o dimag mein ab aaya.

 


Monday, July 3, 2023

Woh kehte' hain humse' kabhi kabhi...

Woh kehte' hain humse' kabhi kabhi,

Kya aur koi ada seekhi nahi?

Kab tak inn purani adaon se' mujhe' bor karte' rahoge'?
Kya kuch aur seekhne' ka plan nahi?

Insaan ki shayad yahi ek problem hai,
Jo ek baar seekh liya woh itni asaani se' bhoolta nahi.

Sochta rehta hoon kabhi kabhi,
Bor hone' ki ada toh unki fitrat hai,
Isse' bhool jaana toh unke' bas mein nahi.

Shayad aise' kai fitraton ke' ghulam hum sabhi hain,
Kya ab inke' sahare' fun bhari zindagi possible nahi?😄😃