Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Sunday, January 3, 2021

Iss beet rahe' saal ke' kai zakhm abhi bhi taaza hain..

 On unique New Year's eve on 31st December 2020, a composition of mine:

"Iss beet rahe' saal ke' kai zakhm abhi bhi taaza hain,
Hum besabri se' uss malham (ointment) ka intezaar kar rahe' hain.
Naye' saal aane' main ab kuch hi lamhe' baaki hain,
Iss baar jashn ko bhool kar sab apne' apne' kai zakhmon ko bharne' ki soch rahe' hain.
Kuch chot (injury) humein bhi lagi hai,
Dard ab tak ho raha hai.
Magar ab yeh saara jahan humse' koi alagh nahi hai,
Jisko dekho wahi kisi na kisi tarah se' zakhmi hai.
Saara jahan ab yahi mushakkat (hard work) kar raha hai,
Malham toh ab aane' hi waala hai.
Phir kyon naa hum sab khudi ko yoon buland karein,
Ke' taqdeer hi humse' yeh pooche' :
" Bol teri raza kya hai" ✊🏼✌️💪😊