Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Wednesday, October 21, 2020

Naa jaane kyon kuch goom soom se' lag rahe hain aap sab

Naa jaane kyon kuch goom soom se' lag rahe hain aap sab,

Shayad kuch mahino se' chal rahe' iss mahaul ka dosh hai.

Raunaq jo thi kuch mahine' pehle',
Ab kahin kho gayi hai,
Shayad iss chal rahe' waqt ka dosh hai.

Hum hi kya, saara jahan aise' waqt se' aaj joojh raha hai,
Magar ab kai iss halaat se jung mein doobe hain,
Yeh toh kamaal ka hosh hai.

Waqt toh mausam ki tarah apna andaz badalta hi hai,
Kabhi insaan ko khushiyon ka guldasta toh kabhi musibaton ki kadi dhoop deta hai,
Ab isme' kiska dosh hai?

Dhoop toh ab kum hoti jaa rahi hai,
Suhaani shaam dhalne' lagi hai,
Kyon naa hum sab phir wahi raunaq apne' apne' dil-o-dimag mein hi le' aayein?
Varna sochna padega ke ab khud mein hi koi dosh hai.😊😊