Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Monday, July 17, 2023

Bheeng gaya phir yeh sama...

Bheeng gaya phir yeh sama,

Sote' hue' armaanon ko phir jagaa diya.

Ab tak toh iss dhalti hui jawaani ki fikar nahi thi,
Magar ab iss khayal ko bhi yoon jagaa diya.

Iss waqt mahaul hi kuch aisa ban gaya,
Tanhai mein bhi jaam ne' kisi mazedaar mehfil ka ahsaas dila diya.

Beeti hui jawani ke' din ab khwab ban kar reh gaye',
Yeh haqiqat bhi ab dheere' dheere' meri samajh mein aa hi gaya.

Suna tha humne' bhi - "chor chori se' jaaye' par hera pheri se' naa jaaye",
Yeh bhi mere' shararti zehen mein sama gaya.

Chalo, umar dhal gayi toh kya ghum hai,
Uss Maalik ki meharbani se' dil toh abhi bhi jawaan hai,
Issi khayal ne' mujhme' jawaani ka woh junoon phir jagaa diya.😄👍

No comments:

Post a Comment