Dekhe' the' kuch khwab humne' bhi,
Shaan, shaukat, shohrat,
aur beshumar daulat ki.
Socha tha humne' bhi,
Honge' iss jahaan mein ek
shaksiyat auron se' alagh hi.
Naseeb ko naa jaane' kya
manzoor tha,
Auron ki mehfil mein anjaan
ban kar reh gaya.
Shaksiyat toh kya, sirf ek
alagh naam se' hi jaana gaya.
Kyon woh purani khwaishen
mujhe' tadpaati hain?
Tum toh sirf ek aur insaan
ban kar reh gaye',
Yeh baar baar suna kar
muhje' khud se' hi nafrat kyon karvaati hai?
No comments:
Post a Comment