Kal zindagi se mayoos ho
kar hamne' kuch mayoosi ka kalaam likha,
Shaayad aap sab ko bhi apni
mayoosi mein shaamil kar diya.
Magar aaj zindagi ki kuch
khubsoorti ko phir dekha,
Gulistaan mein kuch gulon
ki mehak ko phir se' mehaka.
Sochta hoon uss parvar
digar ki bhi kya marzi hai?
Agar mayoosi nahi hoti, toh
khushi ki kya kadar hoti?
Khaane' mein agar mirchi nahi
hoti toh meethe' ki kya kadar hoti?
Yeh soch kar humne' aaj mayoosi
ko dooor kar diya,
Aur aap sab ko phir se' muskurane' par shaayad majboor kar diya.
No comments:
Post a Comment