Tanhai ka mahaul hai
Sama hai bechaini ka.
Kya kayamat hai mere' zehen
mein,
Haqiqat ko khabar nahi hai.
Zindagi ka doosra naam
kashmakash hai,
Vardi ke bina har insaan ek
jaanbaaz hai.
Kyon phir mujhme' aaj yeh
fikar hai?
Aage kya hoga?
Kyon yeh soch hai?
Humne' kasam khayi hai,
Akhri saans tak,
Iss kashmakash se' jung
karne' ki.
Kya anjaam ho kya pata?
Magar jaanbaaz ki tarah
aakhir dum tak jeene' ki.
Aaj iss waqt hum doobe' hain
jaam ke' nashe' mein,
Ab sarfaroshi ki tamanna
hamare' dil mein hai,
Dekhna hai ke zor kitna
baazue' kaatil mein hai.
No comments:
Post a Comment