Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Sunday, October 28, 2018

Aadat padh gayi hai mujhe'

Aadat padh gayi hai mujhe',
Khud ko abhi bhi jawan samajhne' ki,
Jo mujhe' kabhi bhi fateh naa kar sake',
Uss maamoli si taaqat ko bekar samajhne' ki.

Umar zaroor ho rahi hai,
Chehre' pe' raunaq par bhi asar padh raha hai,
Sar ke baal bhi ab jaa rahe' hain.

Aaine' ko jab bhi dekhta hoon,
Ek hi awaaz baar baar sunta hoon,
"Tumhari umar ho rahi hai",
Yehi baat hamesha sunta hoon.

Magar aaine' se' dooor reh kar,
Junoon rakhta hoon ab bhi,
Kaafi kuch haasil karne' ki,
"Abhi humne' kiya hi kya hai?"
Iss soch kl lekar chalte' rehne' ki.

Aaine' ko kyun itni ehmiyat doon?
Meri shakal ke' aage' isne' dekha hi kya hai?
Mere' andar jo joshila insaan hai,
Usko aaine' ne' abhi pehchaana hi kahan hai? 

Friday, October 19, 2018

Yaadein aati hain uss beete' hue' daur ki

Yaadein aati hain uss beete' hue' daur ki,
Woh toh ek alagh hi zamaana tha,
Masti ka gazab sa alam tha,
Aur fikar toh dooor ki baat thi.

Woh khel woh sharatein,
Woh baarish mein bheeng jaana,
Kuch kamaal ki baat hi.

Taleem par bhi zor tha,
Buzurgon ka, masteron ka,
Aur ghar mein apne' maa baap ka,
Lihaaz tha, aur darr bhi tha.

Khel hi khel mein naa jaane' kaise' saara bachpan beet gaya,
"Ab kuch bann ke' dikhana hai",
Naa jaane' yeh ahsaas kaise' ho gaya?

Iss ahsaas ne' woh khel bhula diya,
Baarish mein uss masti ko bhi bhula diya,
Aur khud mein kisi naye' shaksiyat se' mila diya.

Aaj isi shaksiyat ke' zariye',
Jahan mein apni koi pehchaan ban gayi,
Chaar logon ke' beech shamil hone' ki adaa aa gayi.

Magar phir bhi kabhi kabhi,
Yaadein aati hain uss beete' hue' daur ki,
Jab ek alagh hi zamaana tha,
Masti ka gazab ka alam tha,
Aur fikar toh dooor ki baat thi. 

Monday, October 15, 2018

Masti ke' iss alam mein

Masti ke' iss alam mein,
Kuch aisi waisi harkat karne' ki soojhi hai.

Ched chaad ke' iraade' mein,
Kuch mauj manane' ki soojhi hai.

Dekho naa, saara hafta yoon hi guzar jaata hai,
Aab o daana ki talaash mein
Insaan naa jaane' kahan kahan bhatak jaata hai.

Aaj ke' iss shaam ka yeh paigham hai,
Kuch pal sab bhool kar mast ho kar behak hi jao,
Yeh hum sab ka haq hai.

Agle' hafte' ki aaj kya soch karein?
Kya milega, kya khona padega?
Iski fikar aaj kyon karein?

Kehte' hain sirf mushakkat par insaan ka bas hai,
Natije' toh upar waale' ke' haath mein hai.

Isi rawaiye' ko lekar hum sab fikar ko dooor karein,
Aur khud ko behakne' dein iss shaam mein.