Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Monday, February 18, 2019

Kabhi toh mujhe' yaad kar lena

Message from an unknown martyr:

"Kabhi toh mujhe' yaad kar lena,
Kabhi toh meri kurbani ko salaam karte' hue' kuch aansoo bahana.

Mere' bhi maa baap the',
Meri bhi biwi thi aur baal bachche' the'.

Unki zindagi mere' bina ab kaise' beet rahi hai?
Iss sawaal par kabhi kabhi zaroor gaur karna.

Main toh chala gaya karke' iss Watan ko aap ke' hawale',
Yahan aur kis kis ko uss jahaan mein mera saath dena hoga?
Yeh soch kar hi apna har kadam aage' badhaana." 😪🙏

Saturday, February 2, 2019

Kisi jashn-e-mehfil mein aaj naa jaane' kaise' shareeq ho gaye'

Composed the following on the occasion of 75th birthday of a close relative:

Kisi jashn-e-mehfil mein aaj naa jaane' kaise' shareeq ho gaye'?
Naa toh aaj Diwali hai,
Naa hi Eid,
Phir yahaan jashn ki khushboo mein kaise' kho gaye'?

Socha tha subah aaj,
Humare' kisi aziz ki salgirah ka mubarak mauka hai,
75 saal ke bemisaal safar poore' hone' ka suhana mauka hai.

Diwali ya Eid ki tareeq bhale' hi aaj naa hai,
Magar aise' bemisaal shaksh ki yeh 75wan salgirah,
Kya Diwali ya Eid se' kuch kum hai?

Hum sab ke' aur naa jaane' kitne' anjaano ke' aziz,
Aap ko aaj ab kya nazraana pesh-e-khidmat karoon?
Falak se' todkar sitaare' bhi agar le' aaoon,
Toh bhi aapki shaan mein shayad kuch kami reh jaayegi,
Iski fikar ab kaise' naa karoon? 

Uss Parvar Digar ko hazaar salaam,
Jinhone' aap jaise' bemisaal shaksiyat se' hum sab ko milaya.

Aapke' iss kamaal ki zinda dili ko bhi hazaar salaam,
Jiski badaulat hum sab aur naa jaane' kitne' log,
Roz Diwali aur Eid manaate hain.

Fariyad hai aaj uss Parvar Digar ko,
Kisi mandir mein nahi, kisi masjid mein nahi,
Aur naa hi kisi girja ghar mein.
Sirf apne' apne' pak dilon mein.

Aur woh fariyad yeh hai ke',
Hum sab ko aapki zinda dili aur iss bemisaal shaksiyat ki yeh barsaat,
Saalon saal aur naseeb hote' rahein.