Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Monday, May 27, 2019

Umeedon ke sahaare' zindagani kat rahi hai


Umeedon ke sahaare' zindagani kat rahi hai,
"Aaj ki baat aur hai,
Kal toh kuch nirala hoga."
Aise' aise' khyalon ke sahaare' pal pal beet raha hai.

Woh kal jo beet gaya, koi bura nahi tha,

Aaj ke' motabik woh bhi toh aisa hi tha,
Magar aaj toh aane' waale' kal ka intezaar ho raha hai.

Peeche murr murr kar dekhna shayad zinda dilon ki ada nahi,

Jo beet gaya woh beet gaya,
Usse' yaad karna humare' shaan ke' khilaaf hai.

Magar unn beete' hue' palon mein kuch raaz zaroor chhipe' honge',

Unn raaz ko samajhna bhi toh zaroori hai.

Haan, jo halaat unn beete' hue' palon ke' peeche' the',

Woh halaat aaj kuch alagh hi hain,
Magar phir bhi koi naa koi,
Sabak hum sabhi ko sikha jaata hai.

Inn saare' sabak ko samajh lena hi,

Zindagi ka doosra naam hai,
Magar afsos, hum mein se' kitne' hain jo yeh samajh lete' hain?
Shayad yahi badkismeti ka doosra naam hai.

Inn saare' sabak par umeed ki chadar laga kar ab kal ka intezaar karein,

Yahi joshile' andaaz se' chalte' rehne' ka ek raaz hai.  

Friday, May 24, 2019

Hindustan ki jamhoriyat (democracy) ka yeh ajooba

Hindustan ki jamhoriyat (democracy) ka yeh ajooba,
Jahaan ke' har mulk mein apna kamaal dikha raha hai.

"Kya baat hai, kya baat hai",
Doosre' mulkon ke' logon mein aisa ahsaas dila raha hai.

Hum Hindustani toh iss waqt koi jashn manaa rahe' hain,
Aur jahaan ko ab yeh ahsaas dila rahe' hain,
"Humse' lajawaab aur kaun hai?"

Iss ajoobe' ko koi aandhi samajh le',
Ya samundra mein aaya koi tsunami,
Hum Hindustanion ne' kuch aisa kar hi dikhya hai.✌️👍😃

Monday, May 13, 2019

Hindustan ke awam ne' apna faisla phir suna diya

Hindustan ke awam ne' apna faisla phir suna diya,
Jamhoriyat (democracy) ke iss bemisaal rivaaz ko poora kar,
Apni apni oonglion (fingers) pe nishan lagva kar,
Humare' nai hakoomat ka faisla kar diya.

Aage' peeche' naa jaane' kitni shikayatein karte' hain hum Hindustani,
 "Humare Mulk mein yeh theek nahi hai, ya woh galat hai..." 
Iss tareeke' ki kai baatein hoti hain, aur naa jaane' kya kya.

Magar jamhoriyat ke' iss bemisaal rivaaz ki jab jab baari aati hai,
Toh hum Hindustani khud ko kitne' khush naseeb samajhte' hain.

Iss jahaan ke naa jaane' kitne' mulk,
Unn mulkon mein naa jaane' kitne' log,
Hum Hindustanion ko hairan ho kar dekhte hain.

Aur mann hi mann yeh zaroor kehte' honge':

"Koi shaque nahi, ke' saare' jahaan se' achcha yeh Hindustan tumhara."