Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Saturday, April 24, 2021

Iss waqt ke' khuafnaq daur mein....

    Iss waqt ke' khaufnaq daur mein,

Jeene' ki nai ada ab humne' seekh hi liya hai.

Jahan dekho, maddat ki dard bhari pukar goonj rahi hai.

Kisi ki saansein band ho rahi hain aur oxygen ki zaroorat hai,
Kisi ka bukhaar hi nahi tham raha aur hospital ki zaroorat hai,
Inn dard bhari pukaron ne' meri rooh ko bhi tadpa diya hai.

Jung hai aaj hum sab ke' saamne',
Anjaan insaanon ki zindagi bachaane' ke' liye'.

Har ek insaan ab isi jung ka saama kar raha hai,
Anginat aur anjaan logon ki zindagi bachane mein laga hai.

Woh jo kisi hospital mein oxygen par jee raha hai mera koi nahi,
Woh jo plasma ki talash kar raha hai mera koi nahi ,
Magar haan, woh sab meri aur aapki tarah ek insaan hain,
Mera dil unn sab ke liye' kitne' dard se dhadak raha hai.

Kal ya parson shayad sab theek ho jaaye',
Zindagi phir apne' hi raftaar mein aa jaaye',
Magar yeh khaufnak pal meri rooh mein hamesha bas jaayeinge',
Aur iss haqiqat se' ab saari umar mujhe' jeena hai.😢