Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Sunday, November 28, 2021

Kamaal hai kamaal hai

 Kamaal hai kamaal hai,

Josh bhi kuch bemisaal hai.

Haath mein mere' aaj woh jaam hai,
Jo ab mujhe' kamaal ke' mizaaz mein laa raha hai.

Kamaal hai zaroor kamaal hai,
Magar yeh kiska kamaal hai?

Mausam toh kuch khush gawaar hai,
Jaam toh khud mein hi ek misaal hai.

Phir meri mizaaz par ab kiska raaj hai?
Kya kahoon? Fikar bhi toh mere' kuch aise hi hai.

Abhi toh uss fikar ko marro goli,
Mera mizaaz iss waqt kisi masti ka ghulam hai.

Kal kya hoga yeh kisko pata hai?
Abhi toh iss waqt saara mahaul jaise' ho hi gaya,
Kamaal hai kamaal hai."๐Ÿ‘✌๐Ÿ˜„๐Ÿ˜„

Sunday, November 14, 2021

Mahaul hai aaj kuch mehka mehka saa

Mahaul hai aaj kuch mehka mehka saa,

Kisi ki shoharat par hum naaz kar rahe' hain,

Toh kisi ki salgirah ki khushiyan manaa rahe' hain.


Kabhi kabhi toh aise' mauke' milte' hain,

Hum unn maukon ko bahut khoob apni apni zindagi mein shaamil karte' hain.


Jisko shoharat haasil hui woh hum mein se' ek hai,

Salgirah jiski hai woh bhi toh hum mein se' ek hai,

Inhi ki badulat hum sab inn bebas halaaton mein khushiyon ke' kuch pal dhondte' hain.


Kal naa jaane' aap mein se' kisko kisko aisi shoharat naseeb ho?

Kis kis ki salgirah ho?

Zaroor unn palon ka hum sab abhi se' intezaar karte' hain.



Thursday, November 4, 2021

Naa jaane' kitne' diye' aaj jal rahe' hain....

Naa jaane' kitne' diye' aaj jal rahe' hain,
Patakon ki goonjon ne' iss sama mein raunaq ke' kai andaaz le' aaye'.

Kuch hi mahine' pehle',
Jaise sab maatam mein apna waqt guzaar rahe' the'.

Yakin zaroor hai ke' kai badnaseeb aaj ke' iss raunaq se' dooor honge',
Halaat hi unke' kuch aise' honge'.

Magar unn sabke' hosla afzahi karte' hue',
Unke' dard ko baante' hue',
Hum mein se' kuch iss jashn ko naya andaaz de' rahe' honge'.

Fariyad hai aaj uss Parvar Digaar se',
Ab hum sab ki zindagi ke' raaston ko har tarah ki roshni se' sajaa de'.

Parvar Digaar se' iss fariyad ke' baad,
Kyon naa hum sab aise' badnaseebon ke' liye' kuch naa kuch karein?

Iss jashn ko hum aaj yahin khatam naa hone' dein,
Magar aise' iraadon se' har waqt hum roshniyon ka yeh jashn unn sabke saath manaate' rahein.๐Ÿ™๐Ÿคจ