Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Tuesday, January 24, 2023

Apne iss jigar ke' tukde' ke' liye'...

Apne iss jigar ke' tukde' ke' liye',

Humsafar ki talash mein,

Main chirag lekar iss jahan mein nikal pada.


Kai andher bhari galion mein chirag lekar,

Idhar udhar bhatak pada.


Kai jawanon ka pata mila,

Magar uske' hamsafar ka koi pata naa chala.


Thak kar, mayoos hokar, main yoonhi reh gaya,

Aur taqdeer  ke' hawale' khud ko kar diya.

 

Ek-a-ek, uss Parvar Digaar ka Hukam yoonhi chal gaya,

Aur uske' muqaddar ne' apna kamaal dikha hi diya.


Mere' iss jigar ke' tukde' ko raah mein koi yoonhi mil gaya,

Jo uske' dil-o-dimag mein naa jaane' kitne' gulshan bana baitha.

  

Monday, January 2, 2023

Phir woh waqt aa gaya....

 Composed the following in the evening of 31st December '22. In fact my last composition of 2022:


Phir woh waqt aa gaya,
Naye' saal ke' intezaar mein kai jashn e mehfil saj gaye' hain.

Kuch toh jaam mein doob jayeinge',
Kuch uss Parvar Digar ke' durbar mein apni khairiyat ki fariyad kar rahe' hain.

Nashe' ke' aaghosh mein naye' saal ki shuruat toh koi anjaan baat nahi hai,
Magar afsos, fikar ke' aaghosh mein aaj naa jaane' kitne' majboor hain.

Kya uss Parvar Digar ko apne' bandon ki fikar nahi?
Kya hum sabka muqaddar hamse' yoonhi rootha rahega?
Yahi hosla hum aap sabse' hi nahi magar iss saare' jahan se' baantna chahte' hain.

WISHING ALL OF YOU A VERY HAPPY AND JOYFUL 2023😃🌹🌺🌻