Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Saturday, March 25, 2023

Yahan zindagi apne' hi andaz mein.....

Yahan zindagi apne' hi andaz mein kuch rang dikha rahi hai,

Wahan main apne' khyalon ki duniya mein kuch aur hi rangon mein dooba hua hoon.

Aaj kisi jaam ka sahara nahi hai,
Sirf umeedon ke' uss nashile' jahan mein kahin kho gaya hoon.

Ab zindagi ke' iss khatte' meethe' andaz ki taraf dekhoon,
Ya umeedon ke' sirf meethe' meethe' lamhon ki kadar karoon?

Iss kashmakash se' iss waqt dooor zaroor hoon,
Lekin kabhi kabhi iss khayal se' yoonhi pareshan ho jaata hoon.

Chalo, kal jo hoga uski fikar aaj kyon karoon?
Iss waqt toh yeh alam hai ke' umeeedon ke' sahare' hi aage' aage' chalta rahoon. 😃😄✊✌️

Wednesday, March 22, 2023

Jhoom uthi yeh zameen...

Composed the following in response to an earthquake last night:

"Jhoom uthi yeh zameen,
Naa jaane kaun sa jashn manaa rahi thi?

Humare toh hosh hi urr gaye',
Naa jaane' kaun si musibat aa rahi thi?

Shayad yeh kudrat ka hi koi farmaan tha,
Varna kya kahin se' koi kayamat yoonhi aa rahi thi?"

Wednesday, March 8, 2023

Phir laut aaya hai mauj masti ka woh jashn

Phir laut aaya hai mauj masti ka woh jashn,

Rangon ki jaise' koi baraat aayi ho.

Chehron par raunaq aur chaal dhaal mein ek lajawaab andaaz,
Aur dilon mein jaise' umangon ki koi barsaat aayi ho,

Nasha jaam ka toh zaroor hai,
Magar lagta hai jaise' iss mahaul ko bhi kuch pilaayi gayi ho.

Ab kaun hai apna aur kaun begaana?
Iski fikar kyon karein jab humare' zehen mein hi jaise' koi aur hi rang milaayi gayi ho.

HAPPY HOLI TO ALL OF YOU AND YOUR LOVED ONES😃

Friday, March 3, 2023

Kabhi kabhi yoon lagta hai jaise'....

Kabhi kabhi yoon lagta hai jaise' ab koi umeed hi naa rahi,

Magar naa jaane' kaise' kuch hi lamhon ke' baad,
Sab kuch suhana suhana lagta hai?

Dil toh kabhi kabhi itna mayoos ho jaata hai,
Jaise' ab aage' andhera hi andhera hai,
Magar naa jaane' kaise' agle' hi pal jaise' koi roshni dil-o-dimag ko roshan kar deti hai?

Shayad yoohi himmat harna hum insaano ki fitrat hai,
Magar josh ki woh chingari jalana uss Maalik ki hi meharbani hai,
Kya isse' kuch log mehaz ittefaq samajhte' honge' ya kudrat ka koi karishma?😃👍✌️