Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Sunday, December 31, 2023

Phir woh lamha aa gaya...

Phir woh lamha aa gaya,

Jab kuch hi lamhon ki baat reh gai hai.

Saal jo shayad kal shuru hua tha,
Jaise kisi zabardast raftaar se' ab khatam ho raha hai.

Hum sab apne' apne' musibaton se' kisi jung meing ulajhe' rehte' hain,
Aur palak jhapkte' hi itna waqt humse' kitna dooor chala jaata hai.

Kaash, yeh waqt humare' liye' kahin ruk jaata,
Yeh khwaish shayad waqt ne' aaj tak nahi samjha hai.

Zindagi ke' iss dastoor ko samajh kar hum ab aane' walon palon ki yoon kadar krein,
Jaise koi apni bemisaal daulat, shaan, aur shohrat ki kadar karta hai.

Tuesday, December 26, 2023

Kuch keh sakoon apne' armaanon se...

Kuch keh sakoon apne' armaanon se',

Yeh thi humari aarzoo.

Khwabon mein toh aise' kai silsile' hue',
Haqiqat mein toh aise' armaanon ki reh hi gai joostaju.

Tanhai mein bhi kuch baat zaroor hai,
Kisi ke' naa hote' hue bhi aa hi jaati hai kisi raunaq ki khushboo.

Armaan jaag hi jaate' hain,
Dil o dimag mein jaise ho jaate' hain kuch jadoo.

Koi nahi hota hai humare' aas paas magar phir bhi,
Mizaaz humare' ho hi jaate' hain bekaboo.

Yeh kamaal hai humare' kisi zehen ka,
Ya phir khyalon mein hi apne' armaanon se' karta rehta hoon kuch guftagu? 👍😄

Sunday, December 17, 2023

Aarzoo toh hai aasmaan choone' ki

Aarzoo toh hai aasmaan choone' ki,

Magar humare' kadam hi kuch saath nahi de' rahe' hain.


Majboor toh hum zaroor hain,

Magar honsle' bhi kuch kaboo mein nahi hain.


Kaash, yehi honsle' mere' kadam bhi samajh sakte',

Magar iss waqt hum yeh aarzoo hi liye' baithe' hain.


Ab kal humara kya aalam hoga kya khabar aur kya fikar,

Abhi toh hum joshile' andaaz mein uss aarzoo ke sahare' koi ajooba karne' chale' hain.