Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Monday, June 24, 2024

Khamosh hoon main.......

Khamosh hoon main,

Khamosh hai woh,

Naa jaane' kyon phir bhi mann mein itna shor hai.


Naa jaane' kaun kaun bass gaya hai mere' mann mein,

Aur naa jaane' kaun si aisi baat hai?


Shayad mann ab mere' bas mein nahi hai,

Samajh nahi saka ke' mann mein itni hulchul kyon hai ?


Suna tha kabhi ke' khamoshi ka alagh hi mazaa hai,

Magar aisa lagta hai ke' mann mein iss hulchul ka andaz hi kuch kamaal hai.


Ab iss khamoshi ki kya kadar karein?

Jab uss hulchul se' hi kuch apnapan ho gaya hai.


All reactions

Monday, June 10, 2024

Shauq se' aaj kisi aur mazedaar shauq ki talash kar raha hoon..

Shauq se' aaj kisi aur mazedaar shauq ki talash kar raha hoon,

Kya hai woh?
Isi soch ko lekar yahan wahan apni nazrein laga rakha hoon.

Shauq toh waise' humne' kai poore' kiye' hain,
Unmein kuch mazedaar bhi the' aur kuch toh aise' hi the',
Ab unn sabse' badhkar kisi aur shauq ki talash kar raha hoon.

Magar kahin woh shauq mujhe' koi aur hi shaukeen naa banaa de',
Kahin mujhe' yoonhi badnam naa kar de',
Isi soch ko lekar khabhi ghabra bhi jaata hoon.

Magar zindagi ke' iss safar mein,
Saare' shauq kya humare' humsafar nahi bann sakte'?
Yahi raaz apne' mizaaz mein lekar iss safar ko suhana banaa raha hoon. 👍😊