Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Sunday, October 27, 2024

Diwali ka mahaul e jashn...

    Diwali ka mahaul-e-jashn,

Jahan dekho, tarah tarah ki mehfilein saji hain.

Kuch toh sirf jaam ke' pyalon ke' maze' le' rahe' hain,
Aur kuch jaam ke' saath saath patton (cards) mein apni apni muqaddar dhoond rahe' hain.

Patte' bhi mehfilon mein alagh hi raunaq sajaa rahe' hain,
Kya baat hai,
Kuch jeet mein toh zaroor magar kuch haar mein bhi maze' le' rahe' hain.

Humne' toh kai saal pehle' hi patton ko choona hi chorr diya,
Iss waqt toh hum kisi aziz ke' yahaan sirf nazaaron ke' aur jaam ke' maze' le' rahe' hain.

Kehte' hain jue' (gambling) se' dooor raho,
Magar Diwali ke' iss mubarak mauke' par kuch jua khela toh koi kayamat toh nahi,
Hum toh roz hi har kadam par ek nahi kai jue' khelte' hi rehte' hain.
All reacti

Wednesday, October 9, 2024

Ashiq mizaaz zaroor hoon...

Ashiq mizaaz zaroor hoon,

Magar phir bhi halaat se yoonhi haar jaata hoon.

Har din kisi naye josh se zindagi ka saamna karta hoon
Magar agle pal naa jaane kis musibat ka saamna karta hoon.

Mizaaz toh jaise humare isharon ka ghulam hai,
Phir bhi naa chahte hue bhi halaat ka ghulami karta hoon.

Zindagi ka rivaaz se hairan saa hoon,
Halaat mein mithas (sweetness) ke saath kuch karvahat (bitterness) bhi shamil hai,
Isi rivaaz ko apni zindagi ka dastoor samajh kar har pal kisi ashiq ki tarah guzarta hoon.👍🏼👍🏼😄😄