Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Tuesday, April 16, 2024

Mann mein kuch halchul si ho rahi hai

Mann mein kuch halchul si ho rahi hai,

Magar phir bhi dil toh hai jaise' balle' balle'.

Fikar toh hai jaise' khud mein saare' jahaan ki,
Magar phir bhi dil toh hai jaise' balle' balle'.

Chehre' se' woh noor naa jaane' kahaan chal gaya,
Magar phir bhi dil toh hai jaise' balle' balle'.

Musibaton ka doosra naam yeh zindagani hai,
Magar phir bhi naa jaane' kyon dil toh hai jaise' balle' balle'.

Mann aur chehre' ke' iss alam ko kyon naa bhool kar apne' dil mein kuch sukoon dhoond loon,
Kyonke' dil mein hi toh hai jaise balle' balle'. 👍đŸŠčđŸ•ș😄

Wednesday, March 27, 2024

Holi ke' rangon mein ab doob jaane' ka waqt phir aa gaya.....

Holi ke' rangon mein ab doob jaane' ka waqt phir aa gaya,

Bin peeye' hi kisi lajawaab nashe' mein doob jaane' ka waqt phir aa gaya.


Jaam ka nasha toh kai baar naseeb hua,

Magar aise' rang bhare' nashe' ka waqt jo saal pehle'  aaya tha wahi ab phir aa gaya.


Zindagi ki iss tez raftaar se' kadam milate' milate' ab thak gaya,

Uss thakaan ko nirale' andaaz se" dooor karne' ka waqt ab phir aa gaya.


Chalo, sab kuch bhool kar ab unn rangon ke' nashe' mein hum sab doob hi jaayein,

Kyonke' ab saal  baad iss tarah se' doob jaane' ka waqt phir aa gaya. 

Sunday, March 10, 2024

Khabar nahi thi humein...

Khabar nahi thi humein,

Ke' kisi ke' dil mein bhi humara ashiyana hai.

Hum toh iss makaan ko hi apna ek ashiyana samajhte' rahe',
Ahsaas hi nahi tha ke' kahin aur bhi apna koi thikana hai.

Unki nazrein kuch kuch ishare' karte' the',
Magar hum soch hi nahi sake' ke' aakhir majra kya hai?

Ek-a-ek unke' jazbaat nazron se' utar kar unke' honthon (lips) par aa gaye',
Tabhi hum samjhe' ke' unka akhir ishaara kya hai.

Waqt kitna guzar gaya aur lamhe' kitne' yoonhi nikal gaye',
Teer (arrow) unka kitni der (late) se' magar sahi nishane' par lagaa hai.

Sukoon hai humein iss baat ka,
Ke' unn jaisi shaksiyat ne' hum jaise' naacheez ko apna kaabil-e-chaahat samjha hai. đŸ˜ŠđŸ˜đŸ„°đŸ‘đŸ˜„

Tuesday, January 30, 2024

Kabhi kabhi sochte' sochte' ....

Kabhi kabhi sochte' sochte' yoon sharma jaata hoon,

Magar sharmane' ki wajah kya hai?

Wajah dhoonte' dhoonte' ek-a-ek muskura deta hoon main,
Magar uss muskurahat ki koi wajah toh hogi, kyon?

Ek din mein naa jaane;' kitne' palon (moments) mein aise' bahaane' bann jaate' hain,
Ab unn bahaanon ki bhi koi wajah toh hogi? Kyon?

Aise' sawaalon ke' jawab shayad kudrat ke' paas hi honge',
Ab kudrat se' iska sawaal kaun kare'? Kyon?

Rehne' bhi dete' hain inn sawalon ko,
Shayad saara waqt aise' hi naa guzar jaaye', kyon?

Kudrat ke' aise' karishme' ko apna deedar samajh kar,
Hum roz kuch pal muskura na lein? Kyon nahi? 😄👍👍

Sunday, December 31, 2023

Phir woh lamha aa gaya...

Phir woh lamha aa gaya,

Jab kuch hi lamhon ki baat reh gai hai.

Saal jo shayad kal shuru hua tha,
Jaise kisi zabardast raftaar se' ab khatam ho raha hai.

Hum sab apne' apne' musibaton se' kisi jung meing ulajhe' rehte' hain,
Aur palak jhapkte' hi itna waqt humse' kitna dooor chala jaata hai.

Kaash, yeh waqt humare' liye' kahin ruk jaata,
Yeh khwaish shayad waqt ne' aaj tak nahi samjha hai.

Zindagi ke' iss dastoor ko samajh kar hum ab aane' walon palon ki yoon kadar krein,
Jaise koi apni bemisaal daulat, shaan, aur shohrat ki kadar karta hai.

Tuesday, December 26, 2023

Kuch keh sakoon apne' armaanon se...

Kuch keh sakoon apne' armaanon se',

Yeh thi humari aarzoo.

Khwabon mein toh aise' kai silsile' hue',
Haqiqat mein toh aise' armaanon ki reh hi gai joostaju.

Tanhai mein bhi kuch baat zaroor hai,
Kisi ke' naa hote' hue bhi aa hi jaati hai kisi raunaq ki khushboo.

Armaan jaag hi jaate' hain,
Dil o dimag mein jaise ho jaate' hain kuch jadoo.

Koi nahi hota hai humare' aas paas magar phir bhi,
Mizaaz humare' ho hi jaate' hain bekaboo.

Yeh kamaal hai humare' kisi zehen ka,
Ya phir khyalon mein hi apne' armaanon se' karta rehta hoon kuch guftagu? 👍😄

Sunday, December 17, 2023

Aarzoo toh hai aasmaan choone' ki

Aarzoo toh hai aasmaan choone' ki,

Magar humare' kadam hi kuch saath nahi de' rahe' hain.


Majboor toh hum zaroor hain,

Magar honsle' bhi kuch kaboo mein nahi hain.


Kaash, yehi honsle' mere' kadam bhi samajh sakte',

Magar iss waqt hum yeh aarzoo hi liye' baithe' hain.


Ab kal humara kya aalam hoga kya khabar aur kya fikar,

Abhi toh hum joshile' andaaz mein uss aarzoo ke sahare' koi ajooba karne' chale' hain.