Khabar nahi thi humein,
Ke' kisi ke' dil mein bhi humara ashiyana hai.
Hum toh iss makaan ko hi apna ek ashiyana samajhte' rahe',
Ahsaas hi nahi tha ke' kahin aur bhi apna koi thikana hai.
Ek-a-ek unke' jazbaat nazron se' utar kar unke' honthon (lips) par aa gaye',
Tabhi hum samjhe' ke' unka akhir ishaara kya hai.
Waqt kitna guzar gaya aur lamhe' kitne' yoonhi nikal gaye',
Teer (arrow) unka kitni der (late) se' magar sahi nishane' par lagaa hai.
Sukoon hai humein iss baat ka,
Ke' unn jaisi shaksiyat ne' hum jaise' naacheez ko apna kaabil-e-chaahat samjha hai.
No comments:
Post a Comment