Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Wednesday, May 26, 2021

Kabristanon aur shamshanon mein woh bheer.....


Kabristanon aur shamshanon mein woh bheer(crowd) dekh kar naa jaane' kitne rooh kaanp uthe' honge?

Aur naa jaane' kab tak yeh bheer ka silsila chalta rahega?
Iss sawal se' naa jaane' kitne' dil tadap rahe' honge'?

Iss daur ne' toh har ek ko yeh ahsaas dila diya,
Ke shikve' gile' jaise' bekaar cheezon mein hum kyon apne' kimti pal barbaad karte hain?

Jo guzar gaye' unke' liye' toh hum ashk (tears) bahaate' hain,
Magar jo apne' beech hain unse' toh shikva gila karte' rehte' hain.

Hum sab agar iss seekh se' apni apni baaki ki zindagi guzaar lein,
Toh kuch naye' ahsaas zaroor mehsoos honge',
Aur kuch nahi toh khud mein hi hum sab naye' insaan paayeinge'.


Friday, May 14, 2021

Eid ke iss mubarak mauke' par...

    Eid ke iss mubarak mauke' par,

Thodi si khushi ka bahaana dhoondta hoon.

Jo jashn har ke' mizaaz mein kabhi hota tha,
Uski sirf ek nazar dhoondta hoon.

Eid ki mubarakbad toh humne' kai apnon ko di,
Magar unn sabke' chehre' par raunaq ki sirf ek lehar ko dhoondta hoon.

Haan, yeh daur hi kuch aisa aaya jab Holi bhi yoonhi beet gayi aur ab Eid,
Sabki tarah main bhi aaj khush rehne' ki koi wajah dhoondta hoon.

Parvar Digaar hum sab par zaroor meherban honge',
Phir se' har ek ke' mizaaz mein jashn jaise' mahaul honge',
Ab toh sab ki tarah main bhi uss daur ke' aane' ki wajah besabri se' dhoondta hoon.