Eid ke iss mubarak mauke' par,
Thodi si khushi ka bahaana dhoondta hoon.
Jo jashn har ke' mizaaz mein kabhi hota tha,
Uski sirf ek nazar dhoondta hoon.
Eid ki mubarakbad toh humne' kai apnon ko di,
Magar unn sabke' chehre' par raunaq ki sirf ek lehar ko dhoondta hoon.
Haan, yeh daur hi kuch aisa aaya jab Holi bhi yoonhi beet gayi aur ab Eid,
Sabki tarah main bhi aaj khush rehne' ki koi wajah dhoondta hoon.
Parvar Digaar hum sab par zaroor meherban honge',
Phir se' har ek ke' mizaaz mein jashn jaise' mahaul honge',
Ab toh sab ki tarah main bhi uss daur ke' aane' ki wajah besabri se' dhoondta hoon.
No comments:
Post a Comment