Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Saturday, December 10, 2022

Iss shaam-e-mahaul mein.....

Iss shaam-e-mahaul mein,

Pyala- e- jaam ke' sahare',
Kuch alagh hi mizaaz mein hum baithe' hain.

Saare' hafte' zindagi ki idhar udhar ki museebaton se' jooojhte' rahe',
Ab unn sab ko iss jaam ke' sahare' hum bhula baithe' hain.

Yeh jaam kahaan ki bani hai? kaun hai woh jo isse' kamaal ka anjaam diya hai?
Inn sawaalon se' hum bekhabar hain.

Mere' dil-o-dimag aur zehen iske' aaghosh mein dheere' dheere' aa rahe' hain,
Aur hum apne' hi khayalon mein doob gaye' hain.

Kal yeh jahaan mere saath kya sulook karega?
Kya mujhe' kuch pal bhi muskuraane' dega?
Inn sawaalon ki parvah iss waqt hum nahi kar rahe' hain.

Aap sab bhi kya mere' inn khyalon se' raza mand hain?
Aapke' jawab ka hum besabri se' intezaar kar rahe' hain.
Cheers🥃🍸🍺🍻🥂

Sunday, November 20, 2022

Mere' aziz ki shaadi ke' mubarak mauke' par....

Composed the following for a dear friend's son's wedding:


Mere' aziz ki shaadi ke' mubarak mauke' par,

Soch raha hoon kuan sa tohfa uske' nazar karoon?


Tohfe' toh kai aayeinge',

Magar kuch khaas kahan se' khoj loon?


Kai dilon mein naa jaane' kya kya duaein jaag rahe' honge?

Magar unn sab se' badhkar uss aziz ko kya dua doon?


Zindagi ka yeh anjaan safar tum dono ke' liye koi bemisaal gulistan bann jaye',

Isse' zyada tum dono ke' liye' Khuda se kya mangoon?


  


Sunday, October 23, 2022

Sama ab phir bann gaya jashn-e-Diwali ka...

 Caught between mixed emotions of return of Diwali festivities after a gap of two years, and the news of tragic chopper crash in Arunachal, where five Army personnel were martyred, I composed the following:


Sama ab phir bann gaya jashn-e-Diwali ka,
Jagah jagah par raunaq hi raunaq hai.

Dil o dimag par jaise' koi joshila mahaul aa gaya hai,
Do saal baad jaise' phir woh bemisaal daur laut aaya hai.

Magar kahin se' koi khaufnaq khabar aayi hai,
Paanch faujion ko ek haadse' mein jaanon ki qurbani deni padi hai.

Woh bhi toh kisi ke' aziz the',
Unke' bhi toh dilon mein kuch armaan the',
Magar kuch hi palon mein woh sab khatam ho gaya hai.

Iss jashn ke' diye' toh hum zaroor jalayeinge',
Magar ek diya toh unn marahoom faujion ke' naam zaroor banta hai.

Unke' azizon se' hum anjaan zaroor hain,
Magar kuch khayal unn anjannon ke' naam bhi toh zaroor banta hai.����

Tuesday, October 18, 2022

Andaaza humare' ishq ke' mizaaz ka...

 

Andaaza humare' ishq ke' mizaaz ka,

Log tab lagaa lete' hain,

Jab unka naam lekar hum,

Zara muskura lete' hain.


Dosti to hum anjaanon se' bhi kar lete' hain,

Magar dillagi toh hum sirf,

Unn jaise' mallika - e-hoor se' hi karte' hain.


Monday, October 17, 2022

Aaina mera kehta rehta hai...

This composition of mine is especially for those of you, who think that age is finally catching up:


Aaina mera kehta rehta hai,
"Umar ab kaafi ho gayi hai".

Magar abhi toh main jawan hoon,
Yeh mere' dil se' awaaz aati hi rehti hai.

Aaina ab apni zulfon ko sanwaarne' ka mauka hi nahi deta,
Magar dil ke' zariye' apne' chehre' pe' woh noor aa hi jaata hai.

Aaine' ke' saamne' ab muskurahat ke' alagh alagh andaaz band ho gaye',
Magar sirf honthon (lips) ke' sahare' ab muskurana seekh liya hai.

Tareeke' (ways) alagh zaroor ho gaye' hain,
Magar andaaz - e - bayaan toh wahi hai.

Toh, kyon hum apne' aaine' se' itne' pareshaan hain,
Jism naa sahi magar mera dil toh abhi bhi jawan hai.😄💪🥰🥰

Friday, September 23, 2022

Iss barsaat mein yoon bheeng jaana tera..

Iss barsaat mein yoon bheeng jaana tera,

Bheeng kar baar baar mujhe dekh kar woh muskurana tera.


Iraada kya tha yeh soch raha hoon,

Kya yeh teri adaa hai ya mujhse dil lagaane ka koi bahaana tera. 

Monday, September 19, 2022

Khwabon ke' sahare' humne' zindagi ka ab tak ka safar poora kar hi diya....

 

Khwabon ke' sahare' humne' zindagi ka ab tak ka safar poora kar hi diya,

Ab toh aadat se' majboor hain,
Aage' ka safar bhi khwabon ke' hawale' kar deinge'.

Neend mein naa jaane' kitne' khwab dekhe' humne',
Haseen pal toh har ek mein shaamil tha,
Magar kabhi socha naa tha ke' unka kya kareinge''?

Jaagte' hue' kai armaan alagh se' khwab ban kar aate' chale' gaye',
Buland hoslon ke' badaulat socha tha,
Ke' ab unn khwabon ko anjaam dekar hi raheinge'.

Afsos, kai waise' kai khwab yoonhi dil o dimag se' ghayab ho gaye',
Aur kuch humne' yoonhi bhula diye'.

Magar zindagi ka safar toh abhi aur bhi hai,
Kuch aur kamaal hum kar hi dikhayeinge'.

Ab isi josh ke' badaulat,
Kuch naye' khwabon ko anjaam hum dekar hi raheinge'. 💪💪✊👍😄

Monday, September 5, 2022

Kehte' kehte' kai log kuch bhi nahi keh jaate' hain...

Kehte' kehte' kai log kuch bhi nahi keh jaate' hain,

Khamoshi ke' mahaul mein magar kuch log bahut kuch sunn lete' hain.

Zubaan par kai alfaaz yoonhi aa jaate' hain,
Unhe' bolne' se pehle' magar, unn sab ka matlab kitne' samajh jaate' hain?

Iss bolne' ki ada ki ab kya baat karein?
Zyada bolna auron ko gavaara nahi hota,
Magar khamosh reh kar hum jaise' kitne' bechain ho jaate' hain.

Chalo, iska ilaaj yahi soch sakte' hain,
Ke' iski ek ada yeh zaroor hai,
Jiski badaulat hum sab saare' jahaan ko pyar mohabbat ke' rangon se' bhar sakte' hain.

Monday, August 22, 2022

Wahan unn haseen wadiyon mein jaise' mausam angdaiyan le' rahi hai...

Wahan unn haseen wadiyon mein jaise' mausam angdaiyan le' rahi hai,

Yahan hum tanhai se kuch guftagu kar rahe' hain.


Mausam wahan kuch shararti mizaaz mein hai,

Hum yahan kuch sharat karne' hi soch rahe' hain.


Tasveerein unn haseen wadiyon ki toh wallah katilana hai,

Hum unn tasveeron ko dekh kar kuch aise' waise khayalon mein doobte' chale' jaa rahe' hain.


Kal woh sab unn haseen wadiyon ko alvida kehke' lautne' waale' hain,

Magar humare' inn khyalon ka aage' kya hoga?

Issi soch mein ab hum khoye' jaa rahe' hain.  

Monday, August 15, 2022

Azad Hindustan ab 75 saal ka ho gaya hai....

 Dedicating this composition of mine to our Nation, on this solemn occasion of India@75:

Azad Hindustan ab 75 saal ka ho gaya hai,
Kitna lamba safar humne' paar kar liya hai.

Socha hoga tab saare' jahaan ne',
Aage' Hindustan kaise' chalne' waala hai?

Magar anginat kurbanion aur mushakkat ke' badaulat,
Hum Hindustanion ne' toh waqt ke' raftaar se' daurh (run) ke' bhi dikha diya hai.

Aaj saara jahaan humein hairangi ki nazar se' dekh raha hai,
Itna faasla poora karne' ke baad ab Hindustan aage' kya kar dikhane' waala hai?

Humara Tiranga aaj ghar ghar ke' upar fehraa hai,
Har ek ke' dil mein aaj kitna josh hai.

Yeh nishaan humara zaroor hai,
Magar iski izzat sirf Hindustan mein hi nahi magar aaj saare' jahaan mein hai.

JAI HIND!!!!!



Monday, August 8, 2022

Tanhai ki shaam hai....

Tanhai ki shaam hai,

Haath mein mera pyala-e-jaam hai.

Fikar ko naa jaane" kahan chhor diya hai?
Ab uss fikar ki fikar kise' hai?

Jaam ahista ahista apna kamaal dikha raha hai,
Khayalon ka silsila chal chuka hai.

Aage' kya karna hai?
Kis kis ko apna aziz banana hai?
Iska faisla iss waqt main nahi mera yeh pyala e jaam kar raha hai.

Ab aage' kya hoga?
Zindagi ke' inn anjaan raahon mein kaun kaun milega?

Iska faisla main nahi shayad mera muqaddar hi kar raha hai,
Phir kaahe' ki fikar?
Aisa paigham mujhe' koi aur nahi yeh pyala - e- jaam de' raha hai. 😀😀

Sunday, July 31, 2022

Kal kitna mayoos tha main...

Kal kitna mayoos tha main,

Kisi hawai haadse' mein humare' do jaanbaaz apni jaan gawan baithe'.

Unke' chahne' waalon ki haalat soch kar mera rooh kaanp utha,
Unn sabhi ne' jaane' kya kya khwab dekhe' the'?

Akhbaaron mein pehli baar unn do jaanbaazon ki tasveer dekhe',
Ek a ek yoon lagaa jaise' woh koi gair nahi magar magar mere' hi apne' the".

Do din iss mayoosi mein guzar gaye",
Ab magar muskurahat ke' kuch leher mere' chehre' pe' aa gaye'.

Zindagi toh chalte' rehne' ka doosra naam hai,
Yeh alfaaz kai saal pehle' humne' aur kaiyon ne' sune' the'.

Meri, aapki aur kaiyon ki zindagi chalti hi jaayegi,
Magar unn do jaanbaazon ke' chahne' waalon ke' kya haal honge'?

Iss sawal par ab kaun kaun gaur kareinge'?😢

Sunday, June 12, 2022

JIsm mein aaj thakaan si hai....

Jism mein aaj kuch thakaan si hai,

Mann naa jaane' kahan kahan bhatak raha hai.

Ek taraf toh jism hilne' ka naam hi nahi le' raha hai,
Magar doosri taraf mann kuch zyada hi machal raha hai.

Dil toh ab tak mere' jsm ki sunn raha tha,
Magar lagta hai jaise' ab woh mann ke' aaghosh mein aa gaya hai.

Iska ilaaj kisi hakim ke' paas kya hoga?
Yeh toh koi aur hi majra hai.

Chalo jism, mann, aur apne' dil ko aapas mein ulajhne' do,
Mauka toh ab pyala-e-jaam ka hai,

Aab aapke' saath hum chalkayein jaam,
Jo hazaar takleefon ka ek marz ilaaj hai.

Cheers🥃🥃😄😄

Sunday, May 29, 2022

Khamosh the' hum ab tak...


Khamosh the' hum ab tak,
Kehne' ko toh bahut kuch tha.

Aarzoo zaroor thi aap sab ko apna haal-e-dil sunane' ki,
Magar kehne' ka woh andaaz naa jaane' kahaan kho gaya tha?

Umeed kar raha tha ke' yeh waqt bhi mausam ki tarah badal jaayega,
Magar dekhte' hi dekhte' waqt naa sahi magar mausam zaroor badal gaya tha.

Waqt ke' badlne' ka intezaar ab kaun kare'?
Lagta hai jaise' mere' naseeb ko shayad,
Mere' zehen ko hi badalne' ka intezaar tha




Monday, February 14, 2022

Mann aaj kuch mayoos sa tha

   Mann aaj kuch mayoos sa tha,

Soch mein dooba tha ab aage' kya hoga?

Waqt ke' khilaaf toh yeh jung kab se' chal rahi hai,
Fikra thi ke' iska anjaam kya hoga?

Khabrein toh hain ke' waqt badal raha hai,
Magar mera woh waqt kab aayega?

Pehele' bhi kai baar iss tarah bebas hokar phir joshila ho gaya tha,
Phir aaj itna bebas kyon ho gaya?

Kamayabi ke' kuch haseen yaadon ne' mujhe' phir joshila banaa diya,
Kyon naa umeed karoon ke' aage' ab toh kamaal hi kamaal hoga?👍👍💪💪😄😄
e

Sunday, February 6, 2022

Kyon itni khamoshi hai yahan par?

Kyon itni khamoshi hai yahan par?

Mayoosi ki toh koi wajah nahi hai.


Daur badal raha hai,

Phir aisa mahaul kyon hai?


Bure' din ab khatam hone' hi waale' hain,

Phir bhi saare' itne' mayoos kyon hain?


Aaj jaam ka koi pyaala mere' haath mein nahi hai,

Phir humein aisa kamaal ka nasha kyon hai?


Waise' jab humein zindagi ka asli nasha mil raha hai,

Phir aise' naqli nashe' ki zaroorat kya hai?


Arre' mere' azizon,

Aane' waale' tamam khushiyon ka nasha kya hum sab ke' liye' kaafi nahi hai?

Sunday, January 16, 2022

Shikva hai mujhe' iss waqt se'...

Shikva hai mujhe' iss waqt se',

Kab se' badalte' hue' daur ka intezaar kar raha hoon.


Khwab ki tarah yeh buraa waqt ataa jaa raha hai,

Inn bure' khwabon ko lekar kab se' neend ke' aagosh mein jaa raha hoon.


Khabrein toh har din kai aate' hein,

Unn tamam khabron mein sirf ek naye' daur ki umeed dhoond raha hoon.


Shukar hai, sab kehte' hain yeh aisa aakhri daur hai,

Magar yeh toh pehle' bhi suna tha aur ab koi saboot dhoond raha hoon.


Buland hoslon ke' kai masle' dekh chuka aur dekh hi raha hoon,

Ab khud mein kisi nirale' buland hosle' ki talash kar raha hoon.


Yeh waqt zaroor badale' ga,

Muqaddar kab tak yoon humse' chupti rahe' gi?


Ab apni muqaddar ko hamesha ke' liye' kaboo karne' ka woh waqt dhoond raha hoon.

Kyon naa hum sab aise' jazbaat apne' dil o dimag mein aane' dein,

Aise' jazbaat mein sirf khud mein hi nahi magar aap sab mein bhi dekhne' ki umeed kar raha hoon.



Sunday, January 2, 2022

Iss saal ko beetne' mein ab kuch hi pal baaki hain....

 Composed the following on New Year's eve:

Iss saal ko beetne' mein ab kuch hi pal baaki hain,
Hum sab naaye' saal ka besabri se intezaar kar rahe hain.

Haath mein kaiyon ke jaam ke' pyale' hain,
Mann hi mann mein kai ek naye' daur ki raah dekh rahe' hain.

Har ek ka dil kitna tadap raha hai kuch barbaadion ko yaad kar ke',
Ab toh kisi ajoobe' ka intezaar shayad sabhi kar rahe' hain.

Iss saal ne' toh barbaadi ke kai rang dikha diye',
Ab toh kuch khushi ke' rangon ka intezaar sabhi kar rahe' hain.

Insaan sabhi ab kitne' majboor ho gaye' hain,
Haath utha kar uss Parvar Digaar se' ek hi dua ki fariyaad kar rahe' hain.

Magar hum sab itne' mayoos kyon ho jaayein?
Kya pata aur kya khabar?
Kahin na kahin hum mein se' kuch woh ajoobe' kar hi dikhayein.👍💪😊