Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Sunday, December 31, 2023

Phir woh lamha aa gaya...

Phir woh lamha aa gaya,

Jab kuch hi lamhon ki baat reh gai hai.

Saal jo shayad kal shuru hua tha,
Jaise kisi zabardast raftaar se' ab khatam ho raha hai.

Hum sab apne' apne' musibaton se' kisi jung meing ulajhe' rehte' hain,
Aur palak jhapkte' hi itna waqt humse' kitna dooor chala jaata hai.

Kaash, yeh waqt humare' liye' kahin ruk jaata,
Yeh khwaish shayad waqt ne' aaj tak nahi samjha hai.

Zindagi ke' iss dastoor ko samajh kar hum ab aane' walon palon ki yoon kadar krein,
Jaise koi apni bemisaal daulat, shaan, aur shohrat ki kadar karta hai.

Tuesday, December 26, 2023

Kuch keh sakoon apne' armaanon se...

Kuch keh sakoon apne' armaanon se',

Yeh thi humari aarzoo.

Khwabon mein toh aise' kai silsile' hue',
Haqiqat mein toh aise' armaanon ki reh hi gai joostaju.

Tanhai mein bhi kuch baat zaroor hai,
Kisi ke' naa hote' hue bhi aa hi jaati hai kisi raunaq ki khushboo.

Armaan jaag hi jaate' hain,
Dil o dimag mein jaise ho jaate' hain kuch jadoo.

Koi nahi hota hai humare' aas paas magar phir bhi,
Mizaaz humare' ho hi jaate' hain bekaboo.

Yeh kamaal hai humare' kisi zehen ka,
Ya phir khyalon mein hi apne' armaanon se' karta rehta hoon kuch guftagu? 👍😄

Sunday, December 17, 2023

Aarzoo toh hai aasmaan choone' ki

Aarzoo toh hai aasmaan choone' ki,

Magar humare' kadam hi kuch saath nahi de' rahe' hain.


Majboor toh hum zaroor hain,

Magar honsle' bhi kuch kaboo mein nahi hain.


Kaash, yehi honsle' mere' kadam bhi samajh sakte',

Magar iss waqt hum yeh aarzoo hi liye' baithe' hain.


Ab kal humara kya aalam hoga kya khabar aur kya fikar,

Abhi toh hum joshile' andaaz mein uss aarzoo ke sahare' koi ajooba karne' chale' hain.



Tuesday, November 21, 2023

Sehat (health) ne' mujhe' yoon dagaa (ditched) diya

 Sehat (health) ne' mujhe' yoon dagaa (ditched) diya,

Samajh mein nahi aaya ke' aakhir yeh kaise' ho gaya?


Apni sehat par mujhe' kitna naaz tha,

Magar naa jaane' kaise' yeh haadsa ho gaya?


Jo bhi ho, iss haadse' ne' mujhe' apne' anjaane' wajood (identity) se' pehchan kara diya,

Mere' kitne' chahne' walon ne' apni apni duaon ki barsaat se' mujhe' yoon bhigo (drenched) diya,

Ke' ab iss alam ne' mujhe' apni zindagi ka ek naya ahsaas dila diya. 

 


Tuesday, October 3, 2023

Baithe' hain kisi ke' intezaar mein

Baithe' hain kisi ke' intezaar mein,

Iss khubsoorat mausam-e-bahaar mein.


Chand ki roshni chaa gayi hai,

Aur fiza bhi hai apne' hi mizaaz mein.


Koi shayad dhoond raha hai mujhe' zindagi iss bheerh (crowd) mein,

Ajeeb dastaan hai ke' hum toh hain sirf unke' parchai mein


Kisko fursat hai kisi ke' liye'

Abhi toh kuch khoye' hue' hain kisi ke' khayalon mein,

Ya doobe' hue' hain mahaul-e-jaam mein.


Sunday, September 17, 2023

Shaam dhal chuki hai

Shaam dhal chuki hai,

Chand aur taaron ne' falak mein jaise' koi mehfil sajaya hai.

Mehakti hui fiza bhi jaise' raunaqi andaaz mein hai,
Khubsoorat chehron mein zulfon se' jaise' kuch guftagu kar raha hai.

Tanhai ka mahaul zaroor hai,
Magar phir bhi kudrat mein kitni raunaq hai.

Kyon nahi, iss lajawaab mahaul mein koi baat zaroor hai,
Jo khamoshi mein bhi naa jaane kitne' kamaal ke lamhe mehsoos kara raha hai. 😊😄

Tuesday, August 15, 2023

Jashn-e-azaadi ke' iss mubarak mauke' par....

Jashn-e-azaadi ke' iss mubarak mauke' par,

Hum hindustani jaise' kho gaye' hain kisi naye' josh mein.

Humara mazhab koi bhi ho, zubaan koi bhi ho, rehne' ka thikaana kahin bhi ho,
Magar iss waqt ek hi jazbaat hai hum sabke' dilon mein.

Chandrayaan 3 Chand par apna ashiana banane' hi waala hai,
Iske' zariye' humare' Hindustan ki ek aur nirali pehchaan banne' hi waali hai saare' jahaan mein.

Eid, Holi, Diwali, Christmas jaise' jashnon ko hum joshile' andaaz se' zaroor manaate' hain,
Magar inn sabse' hatkar kuch kamaal ki baat hai humare iss jashn-e'-azaadi mein.

Naa jaane' humare' aapas mein kitne' gile' shikve' honge'?
Aaj toh unn gile' shikvon ko bhool kar jaise' doob hi gaye' hain iss kamaal ke' mahaul mein.
Jai Hind🙏🙏🙏🙏

Monday, July 31, 2023

Kaise kahein ke ab humara kya mizaaz hai...

Kaise kahein ke ab humara kya mizaaz hai,

Kal tak toh mayoos tha,

Magar aaj kuch aur hi baat hai.


Kehte' hain, badalte' mizaaz iss zindagi ke' andaaz hain,

Aaj agar yeh mayoos hai toh kal kisi josh mein bhi aa sakta hai.


Magar, jab badalte' mausam ko hum iss khubsoorat zindagi ka andaaz maan lete' hain,

Toh yahi aalam apne' mizaaz ka kyon nahi ho sakta hai? 

  


Monday, July 24, 2023

Aap mein se' kuch toh yeh soch rahe' honge'....

Aap mein se' kuch toh yeh soch rahe' honge',

Ke' abhi tak mujhse' koi shayari kyon nahi aayi?


Kya bataaon ke' kya maajra hai?

Mann mein kuch aisi hi baat hai.


Zindagi toh har pal koi naa koi naya rang dikhati hai,

Yeh baat abhi tak mere' hi nahi kaiyon ke' samajh mein nahi aayi.


Shayari toh dil ki hi ek awaaz hai,

Jise' samajhna sabke' bas ki baat nahi,

Yeh nazariya shayad kuch kuch ke' samajh mein nahi aayi.


Maidan-e-jung mein jaanbaaz jung kabhi kabhi ladte' hain,

Magar zindagi ke' jungon ka koi hisaab nahi,

Yeh haqiqat kuch kuch ke' samajh mein ab tak nahi aayi.


Kal kya hoga mujhe' kya pata?

Mujhe' hi kya yeh kisi ke' bhi samajh mein nahi aayi.


Abhi toh iss pal ko apna muqaddar maan kar zindagi ke' maze' le loon,

Yeh baat mujhe'  ab sahi samajh mein aayi.    



Monday, July 17, 2023

Bheeng gaya phir yeh sama...

Bheeng gaya phir yeh sama,

Sote' hue' armaanon ko phir jagaa diya.

Ab tak toh iss dhalti hui jawaani ki fikar nahi thi,
Magar ab iss khayal ko bhi yoon jagaa diya.

Iss waqt mahaul hi kuch aisa ban gaya,
Tanhai mein bhi jaam ne' kisi mazedaar mehfil ka ahsaas dila diya.

Beeti hui jawani ke' din ab khwab ban kar reh gaye',
Yeh haqiqat bhi ab dheere' dheere' meri samajh mein aa hi gaya.

Suna tha humne' bhi - "chor chori se' jaaye' par hera pheri se' naa jaaye",
Yeh bhi mere' shararti zehen mein sama gaya.

Chalo, umar dhal gayi toh kya ghum hai,
Uss Maalik ki meharbani se' dil toh abhi bhi jawaan hai,
Issi khayal ne' mujhme' jawaani ka woh junoon phir jagaa diya.😄👍

Wednesday, July 12, 2023

Barsaat ke' iss mausam mein

Barsaat ke' iss mausam mein,

Kuch masti ka khayal aaya.


Umar toh aisi masti ki beet gayi hai,

Yeh bhi mere' zehen mein sawaal aaya.


Kambakht mann ko ab kaun samjhaye'?

Iska bhi koi ilaaj samajh mein nahi aaya.


Purani beeti masti ke' harkatein badalon ki tarah jaise' mann mein chaa gaye',

Ab inse' barsaat ka bhi sawaal aaya.


Filhaal, hum pyala-e-jaam ke' sahare' aise' waise' khyalon mein doobe' hain,

Kisi aur fikar  ka sawaal hi nahi aaya.


Chalo, waqt ke' har pal ka mazaa lekar zindagi jeena seekho,

Yahi paigham baar baar mere' dil o dimag mein ab aaya.

 


Monday, July 3, 2023

Woh kehte' hain humse' kabhi kabhi...

Woh kehte' hain humse' kabhi kabhi,

Kya aur koi ada seekhi nahi?

Kab tak inn purani adaon se' mujhe' bor karte' rahoge'?
Kya kuch aur seekhne' ka plan nahi?

Insaan ki shayad yahi ek problem hai,
Jo ek baar seekh liya woh itni asaani se' bhoolta nahi.

Sochta rehta hoon kabhi kabhi,
Bor hone' ki ada toh unki fitrat hai,
Isse' bhool jaana toh unke' bas mein nahi.

Shayad aise' kai fitraton ke' ghulam hum sabhi hain,
Kya ab inke' sahare' fun bhari zindagi possible nahi?😄😃

Sunday, June 25, 2023

Saare' hafte' ki thakavat dooor karne' ki koshish mein,

    Saare' hafte' ki thakavat dooor karne' ki koshish mein,

Kuch alagh hi andaaz mein hoon.

Jaam toh aaj kai log pi rahe' honge',
Magar hosh mein rehkar kuch aur karna chahta hoon.

Ajeeb dastaan hai aaj,
Saare' hafte' ke' shikve' gile' mujhe' jaise' quaid kar chuke' hain,
Iss quaid se' ab riha hona chahta hoon.

Khayalon ki uss jahaan mein kho jaane' ke' baad,
Naa jaane' kitne' armaanon ke' badalon mein kho gaya hoon.

Yeh toh aalam hai bina jaam ke' nashe' mein,
Jaam ke' sahare' mera kya alam hota?
Iss soch mein bhi kho gaya hoon.

Chalo, aane' waale' hafte' ka kya paigham hoga?
Masti ke' alam mein iss fikar se' abhi anjaan hoon.😃👍✌️


Tuesday, June 13, 2023

Kahin koi aziz musibat ka saamna kar raha hai...

Kahin koi aziz musibat ka saamna kar raha hai,

Waqt ne' bhi uspar kitna zulm kiya hai.


Mujhse' raha nahi gaya,

Mere' zameer ne' mujhe' ek a ek koi paigham diya hai.


Aaj uspar bura waqt aaya hai,

Kya pata kal tumhare' liye' waqt ka kya paigham hai?


Waqt par kiska zor chala hai?

Magar kuch toh apna farz bhi hai.


Iss waqt inn sab baaton se' mera zameer anjaan hai,

Kyonke' jaam ke' pyale' se' humne' kaise' kisi burqe' ka kaam liya hai.





Monday, June 12, 2023

Baithe' baithe' yoon hi..

Baithe' baithe' yoon hi,

Kuch aisa waisa khayal aaya.

Aakhir zindagi ki raah mujhe' kahaan lekar jaa rahi hai?
Achanak yeh sawaal mere' zehen mein aaya.

Iss suhane' safar ke' kitne' pal yoonhi guzar gaye',
Iska ahsaas mere' dil o dimag mein badal ki tarah chaa gaya.

Suna tha humne' bhi ke' taqdeer ke' aage' sabhi majboor hain,
Phir taqdeer ka khayal kyon nahi aaya?

Chalo, aage' jo hoga so hoga,
Abhi toh hum apna apna farz ada karte' hi rahein,
Issi andaaz ko madde' nazar rakhte' hue' main kal ka intezaar besabri se' karne' lagaa. ✌️👍✊😄😄

Tuesday, May 23, 2023

Muddat ho gayi mere' dil o dimag mein....

Muddat ho gayi mere' dil o dimag mein,

Koi shayarana andaz nahi aaya.


Aap sab shayad yeh soch rahe' honge',

Aakhir main kahan kho gaya?


Hoon toh abhi bhi aap sabke' dilon mein,

Afsos, shayad kisi aur kone' mein chup gaya.


Aaj, tanhai mein humne' khud mein uss shayar ko phir jagaa diya,

Kya mumkin hai ke' aap sabne' phir humein apne' kareeb paa liya?


Zindagi ki raftaar par kiska jor hai,

Naa humne' aur naa hi kisi aur ne' iss par kaboo paa liya.


Chalo, iss haqiqat ko bhool jayein,

Yeh soch kar ke' aapne' aur humne' phir apnapan ka ek aur andaz dekh liya.

Saturday, April 22, 2023

Ramzan ke' mubarak mahine' ke' baad

Ramzan ke' mubarak mahine' ke' baad,

Eid-ul-fitr ka jashn phir aa gaya hai.

Humare' Watan mein aaj raunaq hi raunaq ka mahaul hai,
Har koi iss jashn mein apne' apne' andaaz mein shariq ho gaya hai.

Humara mazhab koi bhi ho,
Ibaadat karne' ka tareeqa kuch bhi ho,
Aaj toh hum sab ka mizaaz jaise' iss jashn ke rang mein nikhar gaya hai.☺️

EID MUBARAK TO ALL😊

Monday, April 10, 2023

Bhoole' beete' hue' kuch haadse'

Bhoole' beete' hue' kuch haadse',

Jo ab naa jaane' kahan kho gaye'?


Kabhi kabhi humare' zehen mein

Aa hi jaate' hain kuch aise"


Jaise' kuch haseen khwab,

Aa jaate' hain mujhme' kai armaan jagaane'.


Suna tha kabhi humne',

Saamna karo jo waqt aaya hai hum sabke' saamne'.


Ab kya karein jab guzre' hue' kuch haadse,

Samajh lete' hain humare' zehen ko apne' aashiyaane'?

Monday, April 3, 2023

Armaanon ke' kai andaaz khyalon mein liye.....

 Received a 'final goodbye' mail from a former colleague suffering from terminal disease, and about to transition to the eternal world. Couldn't have been more depressing to have read the same, and offering her hope against hope:

"Armaanon ke' kai andaaz khyalon mein liye',
Hum toh iss zingagi ke' safar mein chalte' hi jaa rahe' hain.

Abhi toh humein kai faasle' poore' karne' hain,
Isi junoon mein chale' jaa rahe' hain.

Achanak kahin dooor kisi aziz ka yeh safar khatam ho raha hai,
Iss haqiqat se' hum jaise' kisi khwab se' achanak jaag gaye' hain.

Kya uss aziz ko aur jeene' ki chaah nahi hai?
Kya uske' aziz mann hi mann ab toot nahi chuke' hain?
Inn khyalon mein hum bhi ab tadap tadap kar jee rahe' hain.😞"
All reactio

Saturday, March 25, 2023

Yahan zindagi apne' hi andaz mein.....

Yahan zindagi apne' hi andaz mein kuch rang dikha rahi hai,

Wahan main apne' khyalon ki duniya mein kuch aur hi rangon mein dooba hua hoon.

Aaj kisi jaam ka sahara nahi hai,
Sirf umeedon ke' uss nashile' jahan mein kahin kho gaya hoon.

Ab zindagi ke' iss khatte' meethe' andaz ki taraf dekhoon,
Ya umeedon ke' sirf meethe' meethe' lamhon ki kadar karoon?

Iss kashmakash se' iss waqt dooor zaroor hoon,
Lekin kabhi kabhi iss khayal se' yoonhi pareshan ho jaata hoon.

Chalo, kal jo hoga uski fikar aaj kyon karoon?
Iss waqt toh yeh alam hai ke' umeeedon ke' sahare' hi aage' aage' chalta rahoon. 😃😄✊✌️

Wednesday, March 22, 2023

Jhoom uthi yeh zameen...

Composed the following in response to an earthquake last night:

"Jhoom uthi yeh zameen,
Naa jaane kaun sa jashn manaa rahi thi?

Humare toh hosh hi urr gaye',
Naa jaane' kaun si musibat aa rahi thi?

Shayad yeh kudrat ka hi koi farmaan tha,
Varna kya kahin se' koi kayamat yoonhi aa rahi thi?"

Wednesday, March 8, 2023

Phir laut aaya hai mauj masti ka woh jashn

Phir laut aaya hai mauj masti ka woh jashn,

Rangon ki jaise' koi baraat aayi ho.

Chehron par raunaq aur chaal dhaal mein ek lajawaab andaaz,
Aur dilon mein jaise' umangon ki koi barsaat aayi ho,

Nasha jaam ka toh zaroor hai,
Magar lagta hai jaise' iss mahaul ko bhi kuch pilaayi gayi ho.

Ab kaun hai apna aur kaun begaana?
Iski fikar kyon karein jab humare' zehen mein hi jaise' koi aur hi rang milaayi gayi ho.

HAPPY HOLI TO ALL OF YOU AND YOUR LOVED ONES😃

Friday, March 3, 2023

Kabhi kabhi yoon lagta hai jaise'....

Kabhi kabhi yoon lagta hai jaise' ab koi umeed hi naa rahi,

Magar naa jaane' kaise' kuch hi lamhon ke' baad,
Sab kuch suhana suhana lagta hai?

Dil toh kabhi kabhi itna mayoos ho jaata hai,
Jaise' ab aage' andhera hi andhera hai,
Magar naa jaane' kaise' agle' hi pal jaise' koi roshni dil-o-dimag ko roshan kar deti hai?

Shayad yoohi himmat harna hum insaano ki fitrat hai,
Magar josh ki woh chingari jalana uss Maalik ki hi meharbani hai,
Kya isse' kuch log mehaz ittefaq samajhte' honge' ya kudrat ka koi karishma?😃👍✌️

Wednesday, February 8, 2023

Aaj unke' gusse' par itna pyaar aa gaya...

Aaj unke' gusse' par itna pyaar aa gaya,

Afsos, abhi unka pyar toh dekha hi nahi.

Mere' dil ki fariyad ko unka bemisaal inkaar naseeb hua,
Izhaar toh abhi dekha hi nahi.
Unke' honthon par toh nafrat ki pyari si ek lakeer thi,
Unka haal-e-dil toh abhi samjha hi nahi.

Shayad, meri iss aarzoo ka koi aisa ya waisa anjaam hoga,
Magar apne' naseeb ka akhri faisla abhi dekha hi nahi.

Mumkin hai, apne' naseeb mein unka saath likha ho,
Magar unke' naseeb ka akhri faisla abhi dekha hi nahi. 😄😄

Tuesday, January 24, 2023

Apne iss jigar ke' tukde' ke' liye'...

Apne iss jigar ke' tukde' ke' liye',

Humsafar ki talash mein,

Main chirag lekar iss jahan mein nikal pada.


Kai andher bhari galion mein chirag lekar,

Idhar udhar bhatak pada.


Kai jawanon ka pata mila,

Magar uske' hamsafar ka koi pata naa chala.


Thak kar, mayoos hokar, main yoonhi reh gaya,

Aur taqdeer  ke' hawale' khud ko kar diya.

 

Ek-a-ek, uss Parvar Digaar ka Hukam yoonhi chal gaya,

Aur uske' muqaddar ne' apna kamaal dikha hi diya.


Mere' iss jigar ke' tukde' ko raah mein koi yoonhi mil gaya,

Jo uske' dil-o-dimag mein naa jaane' kitne' gulshan bana baitha.

  

Monday, January 2, 2023

Phir woh waqt aa gaya....

 Composed the following in the evening of 31st December '22. In fact my last composition of 2022:


Phir woh waqt aa gaya,
Naye' saal ke' intezaar mein kai jashn e mehfil saj gaye' hain.

Kuch toh jaam mein doob jayeinge',
Kuch uss Parvar Digar ke' durbar mein apni khairiyat ki fariyad kar rahe' hain.

Nashe' ke' aaghosh mein naye' saal ki shuruat toh koi anjaan baat nahi hai,
Magar afsos, fikar ke' aaghosh mein aaj naa jaane' kitne' majboor hain.

Kya uss Parvar Digar ko apne' bandon ki fikar nahi?
Kya hum sabka muqaddar hamse' yoonhi rootha rahega?
Yahi hosla hum aap sabse' hi nahi magar iss saare' jahan se' baantna chahte' hain.

WISHING ALL OF YOU A VERY HAPPY AND JOYFUL 2023😃🌹🌺🌻