Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Monday, March 24, 2025

Iss mareez e mohobbat ke' naam jo unka paigham aaya..

Iss mareez e mohobbat ke' naam jo unka paigham aaya,

Aisa lagaa jaise' kisi registaan (desert) mein zabardast barsaat aaya.

Kai hakeemon se' ilaaj karaaya,
Magar dawaaon (medicines) ka koi asar nahi paaya.

Yakeen ho gaya ke ab dawaaon ki nahi shayad duaon ki zaroorat hai,
Naa jaane' kitne' lamhe' humein unn duaon ne' intezaar karaya.

Baithe' baithe' uss Khuda se' farmaan karaya,
Aur kisi dargah ki taraf humse' uss intezaar ne' sajda bhi karaya.

Magar kahin se' kuch farishton ko hum pe' taras aaya,
Aur Iss mareez e mohobbat ko unke' paigham ne' aakhir kamaal ka sukoon dilaya. 👍🏼😊

Monday, March 17, 2025

Rangeen mahaul mein aaj

Rangeen mahaul mein aaj,

Kuch rang bhare' lamhon mein,
Hum kahin kho gaye'.

Aaj subah tak toh zindagi ki musibaton se' kisi jung mein joojha hua tha,
Magar dekhte' hi dekhte' woh musibatein naa jaane' kahaan kho gaye'?

Yeh Holi ka bemisaal jashn e mahaul,
Kisi ek mazhab ki jagir nahi,
Iske' nirale' rang mein aaj saare mazhab shaamil ho gaye'.

Anjaane' logon ko rang lagaa kar, aur Holi mubarak keh kar gaale' milkar,
Sabhi insaaniyat ke' alagh andaaz mein kahin kho gaye'.

Shikve' gile' oonch neech jaise fazool lagne' lage',
Aur jaam ke' nashe' mein doobe' hue',
Rangeenion mein saje' hue' hum anjaanon ko bhi aaj apna banaate' chale' gaye',

Agli Holi ka humein bahut besabri se' intezaar rahe ga,
Ab issi besabri se hum iss Holi ko alvida kehte' chale' gaye'. 👍🏼😊😊

Wednesday, March 12, 2025

Unke honthon par jo mera naam aaya....

Unke honthon par jo mera naam aaya,
Maine socha shayad unki taraf se koi paigham aaya.

Dil hi dil mein main unki nazar e inayat ka intezaar karta tha,
Shayad woh haseen lamha meri zindagi mein abb aaya.

Kya unke dil se guzar kar mera naam unke honthon par aaya?
Ya, kisi aur ki soch mein doob kar ek a ek unka zubaan fisal (slip) gaya? 😊😊