Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Friday, September 19, 2025

Kabse' intezaar hai kisi malika e husn ka....

Kabse' intezaar hai kisi malika-e-husn ka,
Shayad aa hi jaaye' magar aaj nahi.

Kabse' intezaar hai kisi khwab ko haqiqat mein badalna,
Shayad badal hi jaaye' magar aaj nahi.

Kabse' intezaar hai iss mizaaz mein koi ashiqana andaz aa jaana,
Shayad phir woh aashiqui muhjme' aa jaaye' magar aaj nahi.

Kabse' intezaar hai mujhmein phir woh shararti insaan jaag jaaye',
Shayad jaag hi jaaye' magar aaj nahi.

Kabse' inn armaanon ko liye' jee raha hoon,
Shayad yeh sab poore' ho jaaye',
Intezaar karke' haasil karne' mein alagh hi mazaa hai,
Isiliye' toh kehta hoon "magar aaj nahi" 😄😄ðŸĪŠðŸ˜œ

Wednesday, September 10, 2025

Uss bheegi bheegi raat mein....

 Uss bheegi bheegi raat mein,

Ahsas kuch ho gaya iss dil-e-nadaan mein.

Doob gaya kaise' kaise' khyalon mein,.
Umar ko bhool gaya unn haseen khwabon mein.

Sambhalte' bhi nahi sambhal rahe' the' woh iraadein,
Jaise ' koi Kashmakash si ho rahi thi mere' dil-o-dimag mein.

Kuch toh baat thi mere uss hosh mein,
Jiski wajah se' kuch aisa waisa nahi kar baitha uss waqt nadani mein.

Magar kabhi kabhi doob hi jaata hoon aise' waise' khyalon mein,
Ab darr bhi lagne' lagaa hai ke' kuch gustakhi naa ho jaye' mujhse' nadani mein. 😄😄

Monday, September 1, 2025

Mizaaz aaj kuch aisa hi hai.....

Mizaaz aaj kuch aisa hi hai,
Zindagi ke' iss jung se' ab thak (tired) sa gaya hoon.

Haal hi mein kisi aziz par koi kayamat jaise' toot padi,
Dil mera tadap utha aur usko samjhate' samjhate' ab thak sa gaya hoon.

Zindagi toh chalti hi rahegi aur waqt bhi guzarta jaayega,
Magar mere' uss aziz kaise' chalta jaayega,
Yeh sochkar main thak sa gaya hoon.

Kehte' hain, har zahkm (Wound) ki dawa waqt hi hai,
Magar uss aziz ka pata nahi main toh uss waqt ka intezaar karte' karte' thak sa gaya hoon.

Zindagi mein kayamatein har kisi ke' muqaddar mein likhi gayi hai,
Aakhir kyon ? Iss sawaal ka jawab dhoonte' dhoonte' ab thak sa gaya hoon.

Chalo, muqaddar se' ab kaun jung kare'? Kaun kayamaton se' gila kare'?
Yahi haqiqat apne' dil ko samjhate' samjhate' ab thak sa gaya hoon.

Sunday, August 17, 2025

In this tempest on world seas....

In this tempest on world seas,

Our Ship floats steadily.

Defying all mighty waves,
From hostile sources and mighty epicentres.

Perhaps, some killer storms,
Are trying to destabilize our Ship"s sail to a coveted shore.

But, we sailors challenge those killer storms,
Those mighty waves and ensure the steady sail.

Our Tricolour flies high on our Ship,
Adding to our indomitable spirit.

We dare even the mightiest foes,
Who are still gasping for breath after Operation Sindoor.

Our decks are wide open to friendly forces,
Who value our strengths.

But, let no one even try to rock this gigantic boat ,
For only they will sink in these high seas by such follies.

Our Ship is close to the coveted shore called "developed Nation"
With this unbridled optimism we get set to hoist and salute our symbol - our Tricolor. ðŸŦĄðŸŦĄ

Monday, August 4, 2025

Apne' salgirah ke' iss mauke' par...

I dedicate this composition, to all my friends who have made me so SPECIAL, on this birthday of mine.

Apne' salgirah ke' iss mauke' par,
Aap sabne' mujhe' yeh ahsaas dilaya.

Kuch apni bhi wajood hai,
Aap sabki iss shaandar mehfilon mein.

Kabhi socha hi nahi tha jiske' liye',
Uss bemisaal mohobbat ka ahsaas dilaya.

Shikve' gile' zindagi ke' bhi koi hisse' hain,
Chupi hai magar unmein kuch mithaas bhi,
Iss Haqiqat se' pehchaan karaya.

Sochta hoon agar aap sab se' anjaan hota toh,
Meri zindagi kitni pheeki hoti,
Iss soch ne' mujhe' jeene' ka nayaa andaaz sikhaya.

Sunday, May 11, 2025

Sarfaroshi ki tamanna lekar....

Reference to Operation Sindoor:


Sarfaroshi ki tamanna lekar,
Humne' elaan e jung kar diya.

Unn darindon ko aisa sabak sikhane' ke' iraade' se',
Humne' apne' jaanbaazi se' saare' jahaan ko hairan kar diya.

Umeed nahi thi ke' yeh kuch hi dinon ki baat hogi,
Bechare' darindon ke' hoslon ko humne' umeed se' badhkar tabah kar diya.

Ek a ek unke' taraf se' paigham aaya,
Ab bass bhi karo aapne' humare' taqat ko hadd se' bhi zyada barbaad kar diya.

Yeh humari meherbani thi,
Jo humne' unka yeh paigham kabool kiya.

Umeed hai phir aisi naubat kabhi bhi nahi aayegi,
Unn darindon ne' ab ek zabardast sabak shayad seekh liya.

Humare' buland iraadon ko ab koi aisa waisa naa samjhein,
Humne' toh apna aisa wajood unko dikha hi diya. ✊🏞💊💊😄😄

Tuesday, April 29, 2025

Haiwaniyat ki woh hadd paar ho gayi...

Reference to terror attack at Pahalgam:

Haiwaniyat ki woh hadd paar ho gayi,
Kuch darindon ne' kuch masoomon ki kitni berehmi se' katal kar di.

Woh dardnak tasveeron ko dekh kar hum sabki roohein tak kaanp uthi,
Khoon khaul utha aur intequam ki aag dilon mein jal uthi.

Unke'' azizon par kya beet rahi hogi,
Hosla bhi ab shayad jawaab de' rahi hogi.

Zindagi ki iss dardnak pehlu ko dekhkar,
Jannat mein unn farishton ki bhi roohein kaanp rahi hongi.

Waqt ki pukar hum sabko cheekh cheekh kar yeh keh rahi hai,
Unn masoomon ke' azizon ki koi bhi khidmat,
Jaise' uss Parvar Digar ke' liye' humse' ho jaayegi.