Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Monday, November 16, 2026

Shaamil hoon iss waqt....

Shaamil hoon iss waqt,

Kisi jashn e shaadi ke mubarak mahaul mein.

Kya kamaal ka intezaam hai,
Bas, doob hi gaye hain iss joshile mahaul mein.

Jaam, sajawat, mausiki (music) ka toh jawab hi nahi,
Hum jaise mehmaan bhi jaise kho gaye hain kisi aur hi jahaan mein.

Rishtedaar aur mehmaan ke libaas ( outfits) toh bas dekhne layak hain,
Koi alagh hi rang jaise mila diya ho iss jashn e intezaam mein.

Zaheer hai, dulha aur dulhan ke kareebi rishtedaar ko khushiyon ka jaise khazana mil gaya ho,
Doob hi gaye hain woh sab khushiyon ke iss mubarak nashe mein.

Hum bhi doobte jaa rahe hain iss mahaul mein,
Jaam ke pyale se jaise pooch raha hoon "aise naseeb aakhir hai kitnon ke naseeb mein?"

Pyala e jaam jaise mujhe ab yeh ishaara kar raha hai,
Sab kuch bhool kar abhi mujhe apna hamraaz samajh kar shaamil ho jaao inn mahaul e khushiyon mein. 👍🏼👍🏼😊😊😊🥃🥃🥃

No comments:

Post a Comment