Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Monday, December 18, 2017

Kabtak khamosh rahegi tumhari zubaan

Kabtak khamosh rahegi tumhari zubaan,
Ab toh kuch keh do.

Nigahon se' kabtak karte' rahoge' woh ishare',
Ab toh kuch keh do.

Aapke' haseen rukh pe aapke' haal-e-dil ka alam chaya hua hai,
Ab toh kuch izhaar kar do.

Jahaan ke' iss shor sharabe' ke' beech,
Hum aapke' jazbaat samajh rahe' hain,
Magar unhe' ab toh zubaan pe' laa do.

Mohabbat ki do baatein naa sahi,
Apne' shikve' gile' hi sahi,
Magar ab toh kuch keh do.

Saturday, December 16, 2017

Kal khuda ke' kisi viraan dar par

Kal  khuda ke' kisi viraan dar par,
Ek lawaris laash  paayi gayi.

Kehte' hain,
Kabhi isi dar par,
Khuda ke' kai bande' aate' the',
Apni mann ki muraad poori kar,
Isi jagah par,
Khuda ka shukria ada karte' the'.

Maana ki aaj ke' daur  mein,
Aab-o-daana ki talaash mein,
Kai din raat bhatakte' hain,
Aur kai jeene' ki khatir marte' hain.

Magar aab-o-daana ko talash kar,
Woh khuda ka shukria kab aur kahaan ada karte' hain?

Iss dar ki viraangi,
Khamosh hote' hue' bhi,
Kai baatein keh jaati hain,
Koi aur sune' ya naa sune',
Humse' kai shikve' kar jaati hain. 

Thursday, December 14, 2017

Aaj iss mehfil mein hum shayad khud ko sambhal nahi payeinge'

Composed the following for a farewell of  a dear colleague:

Aaj iss mehfil mein hum shayad khud ko sambhal nahi payeinge',
Aapko ruksat karne' ka waqt aa gaya,
Yeh aapko shayad keh nahi payeinge'.

Waqt naa jaane' kaise' pal bhar mein hi beet gaya,
Abhi toh humne' aapki shaksiyat ki thek se' tareef bhi nahi ki,
Ke' iss taqdeer ne' hamara naata yoonhi torh diya.

Khush raho ae' dost,
Nai manzilein tumhari raah dekh rahi hain,
Ab hum shayad khwabon mein  hi milte' raheige',
Hamari nigahein ab unn khwabon ka intezaar kar rahi hain. 


Monday, December 11, 2017

Saara saal beet gaya hai

Saara saal beet gaya hai,
Magar yeh kal ki baat lagti hai.
Jab humne' iss saal ki shuruyaat ki thi.

Itna waqt guzar gaya hai,
Magar kuch hi lamhon ki baat lagti hai.
Jab hamare' samne' waqt hi waqt tha.

Sochkar yoon ghabra jaata hoon,
Iss waqt ki raftaar kya hai?

Dekhte' dekhte' hum dekhte' hi reh jaate' hain,
Aur ek anjaani bhaag daurh mein ulajh kar,
Iss zindagi ke' haseen lamhein humse' kitni dooor chale' jaate' hain.

Kitni ajab dastaan hai?
Woh jo kabhi haqiqat tha,
Ab sirf ek khayal ban kar reh gaya hai.

Woh jo kabhi apna tha,
Ab sirf ek sapna reh gaya hai.

Sapno ki kya kadar karein?
Chalo unn aane' waale lamhon ko hum iss tarah guzarein,
Ke' 365 din baad,
Humein mil jaaye' iss zindagi ki tamam khwaishein.  

Friday, December 8, 2017

Aapki iss kadardangi ki kya baat karoon?

Aapki iss kadardangi ki kya baat karoon?
Iski badaulat humne' khud ko kuch samjha hai.
Aapki iss nazar-e-inayat ki bhi kya baat karoon?
Iski badaulat iss jahan ne' hamein ab janaa hai.

Aisi chaahat ki kadar karna,
Toh koi humse' seekhe',
Jise' paane' ke' liye' naa jaane' kahan kahan,
Humne' ise' pukaara hai.

Aur aisi nazar-e-inaayat ki tadap,
Toh koi humse' jaane',
Jiske' ek katre' ke' liye' bhi,
Naa jaane' kya kya waqt humne' guzaara hai.

Sach, aapki iss kadardangi ki kya baat karoon?
Iski badaulat humne khud ko kuch samjha hai,
Aur aapki iss nazar-e-inaayat ki bhi kya baat karoon?
Iski badaulat iss jahaan ne' hamein ab jaana hai.

Thursday, December 7, 2017

Jashn-e-salgirah ke' iss mubarak mauke' mein

Composed the following as a gratitude to my colleagues, at a birthday celebration of mine at my workplace:

Jashn-e-salgirah ke' iss mubarak mauke' mein,
Jahan shamil ho gaye' hain aap sab,
Iss rang bhare' mehfil mein.

Aap sabse' badhai lekar hum ho gaye' aap sabke' deedar,
Aur shayaad shariq ho gaye' aap sabke' dil-e-mehfil mein.

Iss zindagi ke' ajeeb-o-gareeb daur mein,
Humne' dekhi hain,
Behtareen se' behtareen mehfilein.

Magar pal do pal ki woh mehfilien,
Aati rahi aur jaati rahi.

Aap sab ko ab kya kahoon aur kya naa kahoon?
Hum toh bas qaid ho gaye' tamam umar ke' liye',
Aap sab ke' dil-e-mehfil mein. 

Tuesday, December 5, 2017

Aapki salgirah ke' iss mubarak mauke' par

Composed the following for a birthday bash of a dear friend:

Aapki salgirah ke' iss mubarak mauke' par,
Mein aapko kya nazrana pesh karoon?
Yeh soch kar aaj kuch pareshaan sa hoon.

Aapki iss mehfil mein,
Naa jaane' kya kya tohfe' saje' hain,
Yeh dekh kar kuch hairan saa hoon.

Sochta hoon, ek tohfe' ke' saath saath,
Kyon naa aaj aapke' shaan mein kuch arz karoon?

Sach, zindadilon ke' iss riyasat ke',
Aap woh betaj badshah ho,
Dil mein kuch bair nahi,
Aur kai chehron par muskurahat ki khaas wajah ho.

Mubarak ho yeh salgirah mere dost,
Bane' raho saalon saal,
Zindadilon ke' woh betaj badshah mere' dost.

Yahi nazrana aaj lekar aaya hoon,
Aur isi se' aapki iss mehfil ko aur sajaane' aaya hoon.


Saturday, December 2, 2017

Hum dhoondte rahe' jise' umar bhar

Hum dhoondte' rahe' jise' umar bhar,
Woh aur koi nahi khud ki hi pehchaan thi.
Jise' paakar hum bhi khush hote',
Woh aur koi nahi ek alag hi muskaan thi.

Lakhon karoron ki iss duniya mein,
Mein akela kis kaam ka tha?
Jise' dekh kar koi ruk jaata,
Mein woh shaksiyat kis naam ka tha?

Ek naam hote' hue' bhi,
Mein naami hona chahta tha,
Aur kai logon ko jaante' hue' bhi,
Mein mashhoor hona chahta tha.

Kitni ajeeb baa thi,
Hairat kar dene' waali woh baat thi,
Anginat logon ke' beech hokar bhi,
Kitna akela tha mein.

Magar woh kuch ajnabi hastiyon se',
Mujhe' mili kitni saari khushiyan,
Jo bhula de' meri uss khoj ko,
Mil gayi aisi hi kuch meharbaniyan.  

Shayad isi liye',
Hum dhoondte' rahe' jise' umar bhar,
Woh aur koi nahi khud ki hi pehchaan thi,
Jise' paakar hum bhi khush hote',
Woh aur koi nahi ek alag hi muskaan thi.

Sunday, November 26, 2017

Kya ijaazat hai?

Mausum hai aaj suhana suhana,
Shararat soojh rahi hai dil mein,
Kya ijaazat hai?
Soch rahe' the' unko haal-e-dil sunane' ka,
Mauka aaj lagta hai,
Kya ijaazat hai?
Unko shayad khabar hai hamare' iss alam ka,
Kyon naa phir unse' aaj keh hi daalon,
Kya ijaazat hai?
Kab tak hum apne' jazbaat iss tarah chupaeinge?
Haal-e-dil unko sunane' ka aaj sahi mauka hai,
Kya ijaazat hai?

Monday, November 20, 2017

Awaaz de' rahi hai woh manzil mujhe'

Awaaz de' rahi hai woh manzil mujhe',
Lalkar rahi hai woh manzil mujhe'.

"Kya ab bhi tujhme' woh josh hai?
Kuch kar dikhane' ki junoon hai?"

Ishaaron se' kuch aise' jazbaat bataa rahi hai mujhe'.

Baith kar abhi kuch saans le' raha tha,
Zindagi ke' unn beete' hue' manzilon ki taraf dekh raha tha.

Ek-a-ek  uss lakaar ne' mujhe' jaise' gehri neend se' jagaa diya,
Abhi toh bahut kuch kar dikhana hai,
Yeh ahsaas dila diya.

Waqt ki raftaar ko kaun kaboo kare'?
Khud ki raftaar kahin ahista naa ho jaaye',
Isi yakeen ne' mujhme' woh junoon phir jagaa diya. 


Saturday, November 18, 2017

Baat bahut mamooli si hai

😉
Had composed this while in college😉
😉
"Baat bahut mamooli si hai, 
Magar phir bhi kisi mushkil mein hain hum,
Hamein unse' mohabbat hai,
Magar yeh unse' kaise' kahein hum?

Baat bahut mamooli si hai, 
Magar phir bhi kisi mushkil mein hain hum.
Unke mohabbat ka bhi ahsaas hai hamein,
Magar yeh unse' kaise' pooche' hum?

Baat bahut mamooli si hai,
Magar phir bhi kisi mushkil mein hain hum,
Iss mohabbat ke' kashmakash ko samjhte' hain hum,
Magar iss samajh ka izhaar kaise' karein hum?
Kuch kahe' bina toh ab raha bhi nahi jaata,
Aur ab kaise' rahein hum?

Baat bahut mamooli si hai,
Magar phir bhi kisi mushkil mein hain hum,
Naa jaane' kab iss mushkil ko mamooli samajh kar jee sakeinge' hum?

Shayad tabtak,
Baat bahut mamooli si hai,
Magar phir bhi kisi mushkil mein hain hum,
Hamein unse' mohabbat hai,
Magar yeh unse' kaise' kahein hum?"

Wednesday, October 18, 2017

Aap aur hum mile' the' kabhi,

Aap aur hum mile' the' kabhi,
Woh toh ek haqiqat tha.
Magar aaj naa jaane' kaise',
Yeh ek khwab sa lagta hai hamein.

Aap aur hum aaj phir mile' hain,
Magar aaj naa jaane' kyon,
Yeh koi khwab sa lagta hai hamein.
Shayad kal yeh haqiqat lagne' lage'.

Aapka humse' pehle' milna,
Milke' juda ho jaana,
Aur juda ho kar phir mil jaana,
Shayad aapki mohabbat hai,
Magar hamare' liye' yeh kuch aur nahi,
Sirf aapki nazar-e-inaayat hai.

Tuesday, October 3, 2017

A Tribute To Swachh Bharat Mission

Deeply inspired by NDTV's Swatch Bharat Mission programme on the solemn occasion of Gandhi Jayanti, and its brand ambassador Mr. Bachchan's highly impressive promotion of the same, I have composed the following as tribute to this noble mission:

"Bapu ke' iss janam divas par,
Aaj swachhta divas manaya jaa raha hai.

Hamari azaadi ke' iss mahaan diggaj ko shradhanjali arpit karte'' hue',
Apne' desh ki safai ka woh jung lada jaa raha hai.

Har ek Bharatwasi ki soch ab badal rahi hai,
Har taraf se' gandagi (dirt) par elaan-e-jung kiya jaa raha hai.

Yeh koi kisi par ehsaan nahi hai,
Aur Bapu ko sirf shradhanjali nahi hai.

Apni aab-o-hawa ko saaf rakh kar,
Khud ke' hi jeevan ko aur surakshit kiya jaa raha hai.

Mahamariyon ne' jaise' humare' mulk ke' kai jagahon par,
Koi dhawa bol diya hai.

Bimariyon se' jhoojhte' joojhte' ,
Kaiyon ne' apni jaan se bhi haath dhoya hai.

Ab haath se' lekar apne' ghar, mohalle', shehar,
Aur iss tarah apne' saare' mulk ko ab saaf rakhna hai.

Yeh naara sirf mera ya tumhara hi nahi,
Balke' ek ek Bharatwasi ka ab hona hi hai."

Wednesday, September 27, 2017

Waqt ki raftaar bhi kya kamaal hai

Waqt ki raftaar bhi kya kamaal hai,
Jo kabhi aanewaala kal tha,
Woh palak jhapakte' hi beeta hua kal ban gaya.

Jo pal pehle' koi sapna tha,
Woh ek a ek yaad ban gaya.

Har waqt yeh koshish rehti hai,
Ek ek pal hamara hoga,
Magar yeh sirf khayal bankar reh gaya.

Apni iss zindagi ko auron ke’ bhi kaam mein laa kar,
Jeene’ ka yeh maqsad shayad kamaal ho gaya.

Waqt ki raftaar se' ab kaun muqabla kare',
Kaun pal pal ka hisaab rakhe'?

Kuch lamhon ko agar humne' insaniyat ke' naam kar diya,
Toh apni tamaam zindagi ko khubsoorat bana diya.

Tuesday, September 26, 2017

Khayalon mein doobe' rehne' ki iss aadat ki toh tauba

Khayalon mein doobe' rehne' ki iss aadat ki toh tauba,
Kabhi isska toh kabhi uska khayal aata hai.

Kya höga isska ya uska mizaaz?
Baar baar yeh sawaal aata hai.

Khayalon ki duniya ki raunaq ki bhi tauba,
Kabhi josh, kabhi khushi, toh kabhi kisi fikar ka paigham aata hai.

Jeet hi jaayeinge yeh jung,
Ya hogi hamari bhi koi bemisaal shaksiyat.

Ya kya höga agar hamara kuch nahi höga?
Aise' anjaam mann mein aksar aate' rehte' hain.

Khayalon ke' kuch andaaz ke' bhi tauba,
Kabhi hosh mein, toh kabhi jaam ke aagosh mein aate' hain.


Hosh mein aaye' kuch khayal toh phir theek hain,
Magar jaam ke' aagosh mein aaye' khayalon ki toh tauba.

Humse' badhkar kaun hai?
Aise' alam mein aise' joshile' khayal aate' rehte' hain.

Kuch bhi kaho, magar khayalon ke' bina bhi iss zindagi ki toh tauba,
Mann ek sunsaan shehar ki tarah lagne' lagta hai.

Sach, khayalon mein doobte' rehne' ki aadat se' toh tauba, 
Kuch meetha, kuch khatta, aur kuch karwa yeh jahaan lagne' lagta hai.

Monday, September 25, 2017

Tanhai mein baithe' baithe',

Tanhai mein baithe' baithe',
Kuch dil ki awaaz sunta hoon.

Woh saaz jo kabhi nahi sune',
Aise' dhun apne' jazbaat mein sunta hoon.

Aas paas abhi koi nahi hai,
Magar phir bhi kisi ko kareeb mehsoos karta hoon.

Kaun hai woh?
Yeh sawaal apni tanhai se' karta hoon.

Kitni ajeeb dastaan hai yeh zindagi,
Bheerh mein rehkar bhi kabhi kabhi tanhai se' mulakaat karta hoon.

Aur tanhai ke' aagosh mein,
Kisi se mulakaat karta hoon.

Suna tha humne' bhi ke' insaan ko tanhai raas nahi aati,
Magar khud se' dooor hokar main,
Ajeeb baichini mehsoos karta hoon.

Shayad yeh dastaan kal koi phir dohraye',
Main uss shaksh ka intezaar ab kar raha hoon.

Friday, September 22, 2017

Masti ka yeh mahaul hai

Composed the following on eve of Holi last year!!!

Masti ka yeh mahaul hai,
Sabke' dilon mein ek nayi umang hai.

Rangon ne' bhi ka kya kamaal kiya hai,
Gujiya aur bhang ka bhi ab saath hai.

Jise' dekho shikve' aur gile' ko bhula kar,
Doob rahe' hain rang aur bhang ke' masti mein.

Chehron pe' laal, peele', aur neele' rangon ki sajawat hai,
Jo hamare' nashe' ko ek naya andaz de' rahi hai.

Chher chhar bhi toh ab zaroori hai,
Kyonki, bura naa maano aaj HOLI HAI!!!!!

Tuesday, September 19, 2017

Koshishien kabhi kabhi nakaam ho jaati hain

Koshishien kabhi kabhi nakaam ho jaate' hain,
Dil kabhi kabhi udaas ho jaata hai.

Kamyabi jaise' humse' rooth hi gayi ho,
Mann mein aise' behke' hue' khayaal aate' hain.

Ek-a-ek naa jaane' kahaan se' yeh pukaar aati hain,
"Bas kya yahi hai tumhari wajood?"
"Tumhari zindagi ki kya yahi pehchan hai?"

Neend ke' aagosh mein hum,
Aise' khyalon ko shabba khair kehte' hain.

Aur agle din ke' unn ujaalon mein,
Ek naye' josh ki mehak dhoondte' hain.

Naa jaane kahaan se' woh josh laut aati hai?
Hum ek naye' jung mein doob hi jaate' hain.

"Aage kya höga?" yeh faun fikar karta hai?
"Kamyabi humse' ab bachkar kahaan jaayegi?"
Isi josh mein ek naye' jung mein doob jaate' hain.

Monday, September 18, 2017

Hum aaj kisi naye' josh se'

Hum aaj kisi naye' josh se',
Iss zindagi ki khubsoorti ko dekh rahe' hain.

Iski haseen pehluon ko,

Apne' nirale' andaz se' tareef kar rahe' hain.

Rozana naa jaane' kitne' bahane' dhoondte' hain,
Iss zindagi ko kosne' ke' liye'.

Naa jaane' kitne' ghante' bitate' hain,

Apne' muqaddar ko badnaam karne' ke' liye'.

Yeh zindagi bhi kya hai?
Baar baar yeh sawaal karne' ke' lye'.

Aaj magar zindagi ki kuch bareekiyan,
Nazdeek se' dekh rahe' hain.

Sirf khatte' hi nahi,
Aaj kuch meethe' ras bhi pi rahe' hain.

Kya hota agar iss zindagi mein,
Sirf meethe' ras hi milte' rehte'?

Yeh soch kar hum uss naye' josh se',

Iss zindagi ki khubsoorti ko dekh rahe' hain.

Saturday, September 16, 2017

Aaj kuch masti hai mizaaz mein

Aaj kuch masti hai mizaz mein,
Shararat hai phir ek naye' andaz mein.

Koi mil jaye' aaj kahin kisi morh pe',
Mil jaayein kuch pal uske saath, ek nirale' andaz mein.

Fiza ko pukarta hoon, 
Waqt se' kehta hoon.

Mere' armanon ko ab sambhalo,
Yeh ho rahe' hain bekaboo, naa jaane' kiske' khayal mein?

Friday, September 15, 2017

It's the season of love once again

Composed the following on the eve of Valentine's day some years back:

It's the season of love once again,
Let's say it with roses.

Red is the colour of the season,
Why not say it with roses?

Cheer, smiles, and romance, adorn so many faces,
Expectations galore in every loving heart,
Let's fulfil those with roses.

Loving vibes resonate in so many hearts,
Transmitting and receiving unlimited love signals,
Let's celebrate such loving vibes with roses.

Yes, its Valentine's day once again,
Why not adorn our thoughts and deeds as well with roses?

HAPPY VALENTINE'S DAY TO ALL OF YOU MY FRIENDS!!!!


Thursday, September 14, 2017

Josh phir laut aayi hai iss zindagi mein

Josh phir laut aayi hai iss zindagi mein,
Aage' ki umeedein phir laut aayi hai iss zindagi mein.

Beete' hue' woh haseen lamhe',
Ab kuch haseen khwabon mein badal gaye',
Mere' chehre' pe' muskurahat ki wajah ban gaye'.

Mere' woh aziz jo ab sirf yaadon mein badal gaye',
Unke' woh mashware' jo ab zehen mein bas gaye'.
Meri rooh ke' ek hisse' mein badal gaye'.

Kehte' hain rooh ke' rishte' kabhi khatam nahi hote',
Isi tarah iss jahaan ke' kuch rishte',
Roohon ke' rishton mein badal gaye'.

Shaayad uss Khuda ki yahi marzi hai,
Iss jahaan ke' kuch haseen rishte',
Roohon ke' rishton mein badal jaayein.


Tuesday, September 12, 2017

Log aate' hain log jaate' hain

Log aate' hain log jaate' hain,
Zindagi ka shayad yahi dastoor hai.

Aane’ waalon ki khushi aur jaane’ walon ka ghum hota hai,
Yehi shayad kudrat ka dastoor hai.

Magar woh khushi aur ghum pal do pal hi hote’ hain,
Yeh naa jaane' kiska dastoor hai?

Zindagi har morh (turning) par,
Har ek ko anjaani chunauti deti hai,

Usse’ joojhne’ ki koshish mein hum iss jahaan ko bhool jaate’ hain,
Yeh shayad uss parvar digaar ka dastoor hai.

Naa chahte’ hue’ bhi hum khushi aur ghum ko,
Paani ki bulbulon ki tarah bhula dete’ hain,

Aur kai anjaani chunautiyon mein doob jaate’ hain,
Yehi shaayad jeene’ ka dastoor hain.



Monday, September 11, 2017

Khamosh hai yeh zubaan

Khamosh hai yeh zubaan,
Khamosh hai yeh dil.

Fiza ki rukh badal rahi hai,
Kuch kuch gaalon ko choo kar kehti hai.

"Yeh khamoshi mujhe' pasand nahi,
Zubaan naa sahi apne' armanon ko toh kuch kehne' do",
Yeh guzaarish kar rahi hai.

Armaan jaag rahe' hain,
Ab agli manzil kya hogi,
Khayalon ko samjha rahi hai.

Zubaan ab bekaboo ho raha hai,
Dil bhi ab joshila ho gaya hai.

Dimag ki kaun parvah kare'?
Soch ab khamosh ho gaya hai.

Fiza se' kehta hoon,
"Mujhe' uss naye' manzil ki raah dikha de',
Zindagi ka yeh maqsad ab poora karna hai".

Fiza phir mere' gaalon ko choo rahi hai,
Yeh shayad uski haan ka ishara hai.

Tuesday, September 5, 2017

Maa, aapko aaj yahan kya shradhanjali arpit karoon

Composed and recited the following as a tribute to my departed Mom, at a prayer meeting  for her: 

Maa, aapko aaj yahan kya shradhanjali arpit karoon?
Sirf aapki mahanta ko kuch kuch simran kar sakoon.

Aapki mamta ki yahan kya tareef karoon?
Main toh aapki har nazar mein mamta dekhi hai.

Suna tha aapse' ke' woh parmatma daya ke' sagar hain,
 Humne'  toh aapki nazron mein daya ke' sagar dekhe' hain.

Kya Bhagwan, Kya tirth, kya rishi muni, aur kya pir,
Inn sab se' badhkar toh aap the’ Maa.

Mere' bachpan ki woh tamam sharatein,
Aapne bahut khub jheele' the’ Maa.

Meri zindgai ki woh tamam mushkilien,
Dooor hote' chale' gaye' aapki duaon se'.

Maila ho gaya tha aapka yeh chola kisi rog se',
Raah dekh raha tha ek naya chola swarg ke' dwar se'.

Chale' gaye' aap apne' swarg ke' sthan pe',
 Parmatma ke' uss anjaane' sansar mein,

Aapse' paayi hui yeh anmol parvarish woh vardaan hai,
Meri baaki zindagi ke' liye' ab ek anmol rattan hai.       

Monday, September 4, 2017

Kuch hum tumse' khafaa hain

Kuch hum tumse' khafaa hain,
Kuch tumhe' bhi humse' shikva hai.
Woh pal kuch aisa hi tha,
Hum kisi uljhan mein the',
Aur tumne' bhi yoonhi gila kiya.
Pal beet gaya,
Aur hum dono yoonhi baithe' hain?
Naa jaane' kitne' pal aise hi beet jayeinge',
Ab hum kiska intezaar kar rahe' han.
Ek baar humein dekh kar yoonhi muskura do,
Uss pal ka hum besabri se' intezaar kar rahe' hain.

Saturday, September 2, 2017

Kal humne khushi ka ek naya andaaz dekha

Kal humne khushi ka ek naya andaaz dekha,
Kisi aur ki khushi mein shaamil ho gaya,
Aur khud ko khush hota dekha.

Wajah kya thi?
Mahaul kya tha?
Kisko uski fikar thi?
Kya lena tha unn sab baaton se'?

Kisi ki khushi ko apna samajh,
Humne' khud mein ek naye' insaan ko dekha.

Aaj ke' daur mein,
Kai khushi ko yahan wahan dhondte' hain.

Kudrat ka koi karishma ho jaye',
Iss fikar mein zindagi yoonhi guzaarte' hain.

Kitni ajeeb baat hai,
Jo apno mein mil sakta hai,
Use' hum kudrat ke karishmon mein dhoondte' hain?