Tanhai mein baithe' baithe',
Kuch dil ki awaaz sunta
hoon.
Woh saaz jo kabhi nahi
sune',
Aise' dhun apne' jazbaat mein
sunta hoon.
Aas paas abhi koi nahi hai,
Magar phir bhi kisi ko
kareeb mehsoos karta hoon.
Kaun hai woh?
Yeh sawaal apni tanhai se' karta hoon.
Kitni ajeeb dastaan hai yeh
zindagi,
Bheerh mein rehkar bhi
kabhi kabhi tanhai se' mulakaat karta hoon.
Aur tanhai ke' aagosh mein,
Kisi se mulakaat karta
hoon.
Suna tha humne' bhi ke' insaan ko tanhai raas nahi aati,
Magar khud se' dooor hokar
main,
Ajeeb baichini mehsoos
karta hoon.
Shayad yeh dastaan kal koi phir dohraye',
Main uss shaksh ka intezaar ab kar raha hoon.
No comments:
Post a Comment