Aaj yoonhi kuch khayal aaya,
Mujhme' ek naya josh naa jaane' kahaan se' aaya.
Soch toh rahe' the’ ke ab bahut ho gaya,
Magar achaanak kuch aur haasil karne' ka
woh junoon,
Ek-a-ek kahaan se' jaag gaya.
Umar aur ab tak ke' safar ki kya baat
karoon?
Kya kya dekha,
Kya kya paaya,
Inn sab baton se' anjaan ho gaya.
Kehte' the’ mujhe' woh,
Ab bahut ho gaya,
Khwab se' dooor ho kar ab haqiqat ko
jaano,
Magar mein toh apne' khwabon mein hi chalta
gaya.
Raaz ki baat hai yeh,
Kisne' ise’ jaana hai?
Aage' taqdeer mein kya likha hai?
Yeh kisine' kab pehchana hai?
Magar phir bhi aaj kuch aisi masti cha
gayi,
Ke' apne' khwabon ko haqiqat mein
badalne' ke' junoon mein,
Main yoonhi
chalta gaya.
No comments:
Post a Comment