Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Tuesday, June 27, 2017

Meri raahon mein kitne' phool biche' hain

Meri raahon mein kitne' phool biche' hain,
Iski khabar mujhme bahut hai.

Kaanton ne' bhi unn phoolon mein basera banaya hai,
Iski khabar kisko hai?


Phoolon ki khushboo mere' zehen ko khoob mehka rahi hai,
Kaanton se' bekhabar mere' josh ki bhi kya baat hai,
Manzilon ko paane' ke' iraade' ab buland hai.


Raahi filhaal main akela hoon,
Karvaan ki koi khabar nahi hai.

Magar woh phoolon ki khushboo,
Apne' buland iraade' aur josh,
Inn raahon par chalte' rehne' ke' liye' kaafi hain.

Friday, June 23, 2017

Shaam ka waqt hai

Shaam ka waqt hai,
Mausam mein bhi kuch sharart hai,
Hum baithe' hain kisi ki yaad mein khoye' khoye'.

Shaam ko kahin khabar hai,
Mausam ne' bhi shaayad jaan liya hai.

Hawa ka jhoonka aa aa kar mujhse' kehta hai,
"Yeh toh sirf tumhare' khayalon ki shararat hai,
Jisse' lag rahe' ho tum ab aise' hi khoye' khoye' "

Thursday, June 22, 2017

Kyon apni khushiyon ko auron mein talash karte' ho ae dost

Kyon apni khushiyon ko auron mein talash karte' ho ae dost,
Yeh toh aapki manzilon mein chuppi hai.

Bewajah hum khudi ko auron mein dhoonte' rehte' hain,
Arre' kabhi toh dekho woh aina,
Jo apne' hi sheesha-e-dil mein chuppi hai.

Monday, June 19, 2017

Shikayat karne' ki ada humne' kisi se' sikhi thi

Shikayat karne' ki ada humne' kisi se' sikhi thi,
Shikva tha humein kisi se'.

Dil ko tassali deta tha shikayat karke',
Kya paaya magar iss ada se'?
Yeh kab socha tha humne'?

Hum aaj nibha rahe' hain zindagi ke' andaz naye' naye',
Shikve' gile' bhi toh hain mohabbat ke andaz naye' naye'.

Aaj nazron mein hain adaa paare' pyare',
Kal shaayad ho shikayat kisi kisi ke'.

Magar kisne' dekha hai apne' dil ko?
Jahaan saaf mahaul mein hai,
Chaahat iske', uske', aur sabhi ke liye'.

Thursday, June 15, 2017

A soldier fights another battle

 This was composed in honor of Lance Naik Hanumanthappa,  who managed to endure and survive for six long days after the Siachen avalanche under the harshest possible conditions, only to finally succumb in a hospital:

A soldier fights another battle,
Lying comatose in a hospital,
Fighting for his life.

Doctors too are on a war footing,
Battling all odds to save his life.

Our Nation's imagination is all captured,
By this miracle at Siachen,

Our hands are clapsed, and minds are full of prayers,
Oh God! Let this hero emerge victorious.

Yes, soldiers often make the supreme sacrifice,
While on line of duty.

But this one is different,
He is a hero among the heroes.
An icon for the youth,
A role model for our children,
And a pride for our society.

The whole Nation is praying hard,
The best medicos are struggling hard,
Victory cannot for long be playing truant,
For now, it is a unique battle being fought.


Wednesday, June 14, 2017

Waqt hai aapko alvida kehne' ka

Composed this during farewell of a colleague:

Waqt hai aapko alvida kehne' ka,
Khud se' juda karne' ka.
Aapse naseeb hue kuch khaas lamhon ko apne' yaadon mein samaane' ka,
Aur aapki iss kamaal ki shaksiyat ko apne' khyalon mein samaane' ka.

Zindagi ke iss usool ko hum naa chahte hue bhi, majboor ho kar kubool karte' hain,
Aur janaab, aapko alvida karte' hue' bhi, hamesha milte' rehne' ki kasam bhi khaate' hain.

Kaun jaane' zindagi ke' kiss kis  morh par phir aapse' mulakaat ho?
Magar uss khuda se phariyaad bhi karte' hain,
Ke aapki wahi muskurahat aur zindadili, hamein hamesha naseeb ho.
             


Monday, June 12, 2017

Iss thand ke' mausam mein

Iss thand ke' mausam mein,
Kahin se' sarson aur ganne' ki khusboo aayi.

Kheton aur khalihanon mein,
Woh jalti hui agnithiyon ki garmahat aayi.

Hum toh iss sardi ko yoonhi kos rahe' the',
Ke' achanak hamein khudi mein,
Kisi anjaan shaksiyat ki pehchaan aayi.

Magar yeh koi gair nahi tha,
Bas khud ko hi theek se naa samajhne' ki,
Woh anjaam aayi
.

Friday, June 9, 2017

Composed the following, when a ghazal artiste from Pakistan was performing in India, shortly after the terror attack in Uri:

 Iss raat ki tanhai main,
Hum kuch sukoon ki talaash karte' hain.

Kuch din pehle' hi,
Sarhad ke' uss paar se' ,
Kuch haivaanon ki jurrat dekhi.

Apne' seene' pe' golion ki barsaat dekhi,
Apne' kuch supooton ki shahadat dekhi.

Aaj kahin ghazalon ka jashn dekha,
Sarhad ke uss paar se',
Kisi phunkaar ke phun ko dekha.

Apne' seene' par golion ke zakhm ab sholon main badal gaye,
Kya dastoor hai iss zamaane' ka?
Jo zakhmon ko sholon main badal deta hai.


Iss raat ki tanhai main,
Kai khushiyon ke' khwab dekhte' hoonge',
Magar hum apne' seene' ke zakmon ke' liye',
Kisi malham ki khwab dekhte' hain.

Thursday, June 8, 2017

Naya saal hai, nai umang hai...

Naya saal hai, nai umang hai, nai tarang hai,
Hum beete' hue' saal ko yoon bhula dete' hain,
Jaise kai raat main aaye' khwabon ko bhoola dete' hain.

Yeh sach hai, ke' zindagi ka naam chalte' rehna hai,
Magar kabhi kahin ruk ruk kar, 
Guzre' hue' raah ko bhi toh dekhna hai.

Woh din aur raat jo beet gaye',
Woh raah jo peeche' reh gaye',
Shayad kabhi toh hamein yaad aayenge'.

Kuch nahi toh kum se' kum,
Hamein apni hi wajood se' phir pehchan karaeinge'.

Magar tab tak, iss kudrat ke' kanoon ki kadar kar,
Hamein bas chalte' rehna hai.
Nai umang aur nai tarang ke' saath,
Nai manzilon ko haasil karna hai.

Tuesday, June 6, 2017

Watan ki raah mein kai naujawan shaheed ho gaye'

Dedicated to those who made the supreme sacrifice for our motherland:

Watan ki raah mein kai naujawan shaheed ho gaye',
Kuch beparvah unn shahadaton ko yoonhi nazarandaaz kar gaye'.
Unn naujawano ne' apne' azizon ko tamam umar ke' liye' besahara chorh diya,
Koi beparvah unn besaharon ki taraf murh ke bhi naa dekha.
Kya junoon tha unn naujawanon mein,
Jo apni khudi ko bhi iss watan par mita kar chale' gaye',
Yeh shaayad kuch beparvah samajh nahi sakenge'.

Iss watan ki mitti mein khushboo hai,
Unn naujawanon ke' khoon ki,
Iss khushboo ko woh beparvah pehchan nahi sakenge'.

Thursday, June 1, 2017

Yeh lamhe aur yeh pal kitne' majboor hain

Composed the following on a New Year's Eve:

Yeh lamhe' aur yeh pal kitne' majboor hain,
Na chahte' hue' bhi waqt ke' raftaar mein behte jaate' hain.

Hum har lamhe' aur har pal kuch beete' hue' lamhon aur palon ko yaad karte' hain,
Magar humse' naa jaane' kitne' lamhe' aur kitne' pal nazar se' dooor ho jaate' hain.

Kya karishma hai iss kudrat ka,
Humse' har waqt yeh keemti lamhe' aur yeh keemti pal yoonhi cheen leta hai.

Magar naa jaane kyon hum unn lamhon aur unn palon se' itni mohabbat karte' hain?
Yeh toh sirf jaane' ke liye' hi aate' hain,
Aur naa chahte' hue bhi waqt ke' raftaar mein behte' jaane' ke' liye' hi aate' hain.

Ab unn beete' hue' lamhon aur palon se' kya gila karein?
Jo beet gaye' unse' ab kya khwaish karein?
Kyon naa ab hum sab milkar unn aane' wale'  lamhon aur palon se yeh pochein?
Kya aap hum sab ke' liye' saagar naa sahi magar kushiyon ka koi talaab toh lekar aayenge'? 

Happy New Year!!!