Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Friday, June 9, 2017

Composed the following, when a ghazal artiste from Pakistan was performing in India, shortly after the terror attack in Uri:

 Iss raat ki tanhai main,
Hum kuch sukoon ki talaash karte' hain.

Kuch din pehle' hi,
Sarhad ke' uss paar se' ,
Kuch haivaanon ki jurrat dekhi.

Apne' seene' pe' golion ki barsaat dekhi,
Apne' kuch supooton ki shahadat dekhi.

Aaj kahin ghazalon ka jashn dekha,
Sarhad ke uss paar se',
Kisi phunkaar ke phun ko dekha.

Apne' seene' par golion ke zakhm ab sholon main badal gaye,
Kya dastoor hai iss zamaane' ka?
Jo zakhmon ko sholon main badal deta hai.


Iss raat ki tanhai main,
Kai khushiyon ke' khwab dekhte' hoonge',
Magar hum apne' seene' ke zakmon ke' liye',
Kisi malham ki khwab dekhte' hain.

No comments:

Post a Comment