Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Monday, November 12, 2018

Aadat se' majboor hoon

Aadat se' majboor hoon,
Aise' hi waqt guzaara karta hoon.

Subah shaam jo jung ladta rehta hoon,
Chehre' par naa jaane' kitne' naqab lagata rehta hoon.

Alagh alagh halaat aur shakshon ke' motabiq,
Khud ko badalta rehta hoon.

Koi toh mujhpe' meherbaan ho jaaye',
Koi toh mere' naqab ko pasand kar le',
Isi umeed ko lekar roz subah nikal padta hoon.

Asli chehre' ko chupane' ki ab aadat si ho gayi hai,
Kisi bhi naqab ke' bina bahar nikalne' se' ab ghabrata hoon.

Iss naqab ke' sahare' rozi roti  talashne' ki aadat si pad gayi hai,
Kya karoon?

Ab toh waqt ko bhi jaise' kai naqab dikhata rehta hoon,
Waqt mujhpe' ab hamesha meherbaan rahe',
Isi umeed mein apna asli chehra chupa kar,
Naa jaane' kitne' naqab badalta rehta hoon.    

No comments:

Post a Comment