Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Monday, April 15, 2019

Bheegi bheegi palkon se' koi awaaz aati hai

Bheegi bheegi palkon se' koi awaaz aati hai,
Kuch armaanon ki goonj bhi aati hai.

Ashkon ko dekh kar mera dil bhi bhar aata hai,
Uske' ghum ko churakar uske' daaman mein khushiyan sajane' ko jee chahta hai.

Mere' iraade' zaroor nek hain,
Magar halaat ka paigham mere liye kuch aur hi hai.

Chahte' hue' bhi uski maddat nahi kar sakta,
Kitna bebas yeh halaat mujhe' kar chuka hai.
  
Uske' ankhon mein barsaat dekhkar mere dil mein ghum ke baadal chaa gaye' hain,
Magar mere' aankhon mein barsaat ka ek katra bhi aata nahi hai.

Jo bhi ho magar kya yeh insaaniyat nahi hai?
Ke' kisi ke yeh dard bhari nazar,
Kum se' kum mere' dil ko bhi roola jaati hai?   

No comments:

Post a Comment