Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Saturday, August 3, 2019

Aaj meri zindagi ka ek aur saal beet gaya

Aaj meri zindagi ka ek aur saal beet gaya,
Mubarakon ki jaise' barsaat ho rahi thi.

Magar pata hi nahi chala iss safar mein kahan pahunch gaya,
Beete' hue' dinon ki yaadein aati jaa rahi thi.

Peeche' murr ke dekha toh aisa laga,
Jaise' woh beete' lamhe' mujhe' apni taraf kheench rahin thi.

Aaj iss morh par aakar mein soch raha hoon,
Kya paaya aur kya khoya,
Aur kya kya mujhe aur haasil karni thi.

Zindagi ki raftaar ko samajhne' ki koshish kar raha hoon,
Behte' hue' sagar mein jaise' lehron ko samajhne ki koshish kar raha hoon.

Ab ek hi fariyad hai uss Parvar Digaar se',
Kai aur manzilon ko haasil karne' ki shama,
Mere dil-o-dimag mein jalti rahe'.


No comments:

Post a Comment