Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Sunday, March 1, 2020

Zeher ki hawa naa jaane' kaise' chal padi

Deeply pained by the senseless riots in my city, New Delhi:

“Zeher ki hawa naa jaane' kaise' chal padi?
Mere shehar mein toh aman ka jaise' koi ashiana tha.

Haiwaniyat ka yeh alam kaise' chaa gaya?
Pyar mohabbat ka jaise' koi yahan thikaana tha.

Ek-a-ek kuch zindagian kaise' cheeni gayien?
Ek doosre' ko apni jaan sabhi toh ne'  maana tha.

Meri aur uski roohein aaj kaise' tadap rahien hain?
Aapni apni zameer par naaz toh sabne' kiya tha.

Itne' saare' insaanon mein kuch haiwanon ko hum pehle kyon naa pehchaan  sake?
Sabko humne' farishta yoonhi maana tha.

Bure khwab ki tarah yeh waqt bhi guzar jaayega,
Phir koi naa dohra sake' jo yeh beeta hua khaufnak waqt tha”.

No comments:

Post a Comment