🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳
Jashn-e-azaadi ki iss shandaar mauke' par,
Hum Hindustani naye' josh mein apne' Hindustan ko salaam karte" hain.
Apni iss bemisaal Gulistan ke' har lajawaab Gul se',
Kamaal ki mehak mahsoos karte' hain.
Iss Gulistan mein naa jaane' kitne' maliyon ne',
Apna apna khoon aur pasina bahaya hai.
Aaj uss tamam khoon aur pasine' ki ek ek katre' ko,
Hum apne' dil se' salaam karte' hain.
Humara Tiranga jagah jagah lehra raha hai,
Apni iss pehchaan ki taraf nazar kar,
Hum apne' apne' dilon mein kai jazbaat mehsoos karte' hain.
Waqt hai aaj magar kai mushkilon se' muqabla karne' ki,
Azaadi ke' iss jash mein,
Hum Hindustani unn mushlion pe' elaan-e-jung karte' hain.
Aage' anjaam kya hoga?
Iski fikar jaanbaazon ki tarah hum nahi karte' hain.
Saare' jahaan ki nazar aaj hum pe' hain,
Pehle' ki tarah hum uss ek ek nazar ko,
Ek baar phir hairan karne' ki aaj kasam khaate' hain.
JAI HIND.🙏🙏
No comments:
Post a Comment