Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Sunday, October 17, 2021

Suhani shaam dhal chuki hai..

Suhani shaam dhal chuki hai,

Fiza mein kuch masti ka alam hai.

Ab toh kuch jashanon (festivals) ka silsila chal chuka,
Unke' tayyarion ka josh phir aane' lagaa hai.

Kuch hi waqt pehle' hum sab kitne' mayoos the',
Jaise' kayamaton ka lambaa daur chal chuka hai.

Suna tha humne' bhi apne' buzurgon se',
Waqt hamesha ek jaisa nahi rehta hai.

Kal jo beet gaya woh shayad koi khaufnak khwab tha,
Aane' waala kal toh koi suhana safar zaroor hai.

Kyon naa ab joshile' armaan ke' sahare'.
Hum sab aise' ya waise' unn jashanon ka mazaa lein,
Isi mein toh hum sab ke' jeene' ka woh raaz hai.

No comments:

Post a Comment