A tribute to a departed close relative:
-----------------------------------------
Zindagi ke’ iss lajawaab mele’ mein,
Kai shaksiyaton se’ mulakaat hote’ chale’ gaye’.
Aur kuch yoonhi humare’ zehen se’ achanak gayab ho gaye’.
Magar ek aise’ bemisaal insaan ne’,
Humare’ dil-o-dimag mein jaise’ koi riyasat banaate’ chale’ gaye’.
Aur apne’ kamaal ki shaksiyat ke’ zariye’,
Humare’ zindagi ke’ iss gulistan ko mehkaate’ chale’ gaye’.
Uss bemisaal insaan ki ab kya tareef karoon?
Tareef ke’ kai andaaz toh woh hum sabko sikhaate’ chale’ gaye’.
Mehfil mehfil mein raunaq ke’ kai rang toh hum sabne’ zaroor dheke’ hain,
Magar kuch mehfilon mein shariq ho kar woh apna hi koi alagh rang wahaan milaate’ chale’ gaye’.
Muskurahat ke’ kai andaaz hum sabne’ zaroor dekhe’ hain,
Magar apni muskurahat ke karishmon se’ woh kai dilon mein diye’ jalaate’ chale’ gaye’.
Shayad uss Parvar Digar ke’ durbar mein unka shariq hona zaroori tha,
Shayad unke’ bina woh durbar bhi kuch viraan sa tha,
Magar hum sabke’ sheesha-e-dilon mein khud ko hi quaid karke’ woh humko hamesha ke’ liye’ apna deedar banaakar iss jahaan se’ chale’ gaye’ .
No comments:
Post a Comment