Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Monday, September 1, 2025

Mizaaz aaj kuch aisa hi hai.....

Mizaaz aaj kuch aisa hi hai,
Zindagi ke' iss jung se' ab thak (tired) sa gaya hoon.

Haal hi mein kisi aziz par koi kayamat jaise' toot padi,
Dil mera tadap utha aur usko samjhate' samjhate' ab thak sa gaya hoon.

Zindagi toh chalti hi rahegi aur waqt bhi guzarta jaayega,
Magar mere' uss aziz kaise' chalta jaayega,
Yeh sochkar main thak sa gaya hoon.

Kehte' hain, har zahkm (Wound) ki dawa waqt hi hai,
Magar uss aziz ka pata nahi main toh uss waqt ka intezaar karte' karte' thak sa gaya hoon.

Zindagi mein kayamatein har kisi ke' muqaddar mein likhi gayi hai,
Aakhir kyon ? Iss sawaal ka jawab dhoonte' dhoonte' ab thak sa gaya hoon.

Chalo, muqaddar se' ab kaun jung kare'? Kaun kayamaton se' gila kare'?
Yahi haqiqat apne' dil ko samjhate' samjhate' ab thak sa gaya hoon.

No comments:

Post a Comment