Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Wednesday, September 27, 2017

Waqt ki raftaar bhi kya kamaal hai

Waqt ki raftaar bhi kya kamaal hai,
Jo kabhi aanewaala kal tha,
Woh palak jhapakte' hi beeta hua kal ban gaya.

Jo pal pehle' koi sapna tha,
Woh ek a ek yaad ban gaya.

Har waqt yeh koshish rehti hai,
Ek ek pal hamara hoga,
Magar yeh sirf khayal bankar reh gaya.

Apni iss zindagi ko auron ke’ bhi kaam mein laa kar,
Jeene’ ka yeh maqsad shayad kamaal ho gaya.

Waqt ki raftaar se' ab kaun muqabla kare',
Kaun pal pal ka hisaab rakhe'?

Kuch lamhon ko agar humne' insaniyat ke' naam kar diya,
Toh apni tamaam zindagi ko khubsoorat bana diya.

Tuesday, September 26, 2017

Khayalon mein doobe' rehne' ki iss aadat ki toh tauba

Khayalon mein doobe' rehne' ki iss aadat ki toh tauba,
Kabhi isska toh kabhi uska khayal aata hai.

Kya höga isska ya uska mizaaz?
Baar baar yeh sawaal aata hai.

Khayalon ki duniya ki raunaq ki bhi tauba,
Kabhi josh, kabhi khushi, toh kabhi kisi fikar ka paigham aata hai.

Jeet hi jaayeinge yeh jung,
Ya hogi hamari bhi koi bemisaal shaksiyat.

Ya kya höga agar hamara kuch nahi höga?
Aise' anjaam mann mein aksar aate' rehte' hain.

Khayalon ke' kuch andaaz ke' bhi tauba,
Kabhi hosh mein, toh kabhi jaam ke aagosh mein aate' hain.


Hosh mein aaye' kuch khayal toh phir theek hain,
Magar jaam ke' aagosh mein aaye' khayalon ki toh tauba.

Humse' badhkar kaun hai?
Aise' alam mein aise' joshile' khayal aate' rehte' hain.

Kuch bhi kaho, magar khayalon ke' bina bhi iss zindagi ki toh tauba,
Mann ek sunsaan shehar ki tarah lagne' lagta hai.

Sach, khayalon mein doobte' rehne' ki aadat se' toh tauba, 
Kuch meetha, kuch khatta, aur kuch karwa yeh jahaan lagne' lagta hai.

Monday, September 25, 2017

Tanhai mein baithe' baithe',

Tanhai mein baithe' baithe',
Kuch dil ki awaaz sunta hoon.

Woh saaz jo kabhi nahi sune',
Aise' dhun apne' jazbaat mein sunta hoon.

Aas paas abhi koi nahi hai,
Magar phir bhi kisi ko kareeb mehsoos karta hoon.

Kaun hai woh?
Yeh sawaal apni tanhai se' karta hoon.

Kitni ajeeb dastaan hai yeh zindagi,
Bheerh mein rehkar bhi kabhi kabhi tanhai se' mulakaat karta hoon.

Aur tanhai ke' aagosh mein,
Kisi se mulakaat karta hoon.

Suna tha humne' bhi ke' insaan ko tanhai raas nahi aati,
Magar khud se' dooor hokar main,
Ajeeb baichini mehsoos karta hoon.

Shayad yeh dastaan kal koi phir dohraye',
Main uss shaksh ka intezaar ab kar raha hoon.

Friday, September 22, 2017

Masti ka yeh mahaul hai

Composed the following on eve of Holi last year!!!

Masti ka yeh mahaul hai,
Sabke' dilon mein ek nayi umang hai.

Rangon ne' bhi ka kya kamaal kiya hai,
Gujiya aur bhang ka bhi ab saath hai.

Jise' dekho shikve' aur gile' ko bhula kar,
Doob rahe' hain rang aur bhang ke' masti mein.

Chehron pe' laal, peele', aur neele' rangon ki sajawat hai,
Jo hamare' nashe' ko ek naya andaz de' rahi hai.

Chher chhar bhi toh ab zaroori hai,
Kyonki, bura naa maano aaj HOLI HAI!!!!!

Tuesday, September 19, 2017

Koshishien kabhi kabhi nakaam ho jaati hain

Koshishien kabhi kabhi nakaam ho jaate' hain,
Dil kabhi kabhi udaas ho jaata hai.

Kamyabi jaise' humse' rooth hi gayi ho,
Mann mein aise' behke' hue' khayaal aate' hain.

Ek-a-ek naa jaane' kahaan se' yeh pukaar aati hain,
"Bas kya yahi hai tumhari wajood?"
"Tumhari zindagi ki kya yahi pehchan hai?"

Neend ke' aagosh mein hum,
Aise' khyalon ko shabba khair kehte' hain.

Aur agle din ke' unn ujaalon mein,
Ek naye' josh ki mehak dhoondte' hain.

Naa jaane kahaan se' woh josh laut aati hai?
Hum ek naye' jung mein doob hi jaate' hain.

"Aage kya höga?" yeh faun fikar karta hai?
"Kamyabi humse' ab bachkar kahaan jaayegi?"
Isi josh mein ek naye' jung mein doob jaate' hain.

Monday, September 18, 2017

Hum aaj kisi naye' josh se'

Hum aaj kisi naye' josh se',
Iss zindagi ki khubsoorti ko dekh rahe' hain.

Iski haseen pehluon ko,

Apne' nirale' andaz se' tareef kar rahe' hain.

Rozana naa jaane' kitne' bahane' dhoondte' hain,
Iss zindagi ko kosne' ke' liye'.

Naa jaane' kitne' ghante' bitate' hain,

Apne' muqaddar ko badnaam karne' ke' liye'.

Yeh zindagi bhi kya hai?
Baar baar yeh sawaal karne' ke' lye'.

Aaj magar zindagi ki kuch bareekiyan,
Nazdeek se' dekh rahe' hain.

Sirf khatte' hi nahi,
Aaj kuch meethe' ras bhi pi rahe' hain.

Kya hota agar iss zindagi mein,
Sirf meethe' ras hi milte' rehte'?

Yeh soch kar hum uss naye' josh se',

Iss zindagi ki khubsoorti ko dekh rahe' hain.

Saturday, September 16, 2017

Aaj kuch masti hai mizaaz mein

Aaj kuch masti hai mizaz mein,
Shararat hai phir ek naye' andaz mein.

Koi mil jaye' aaj kahin kisi morh pe',
Mil jaayein kuch pal uske saath, ek nirale' andaz mein.

Fiza ko pukarta hoon, 
Waqt se' kehta hoon.

Mere' armanon ko ab sambhalo,
Yeh ho rahe' hain bekaboo, naa jaane' kiske' khayal mein?