Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Tuesday, August 29, 2017

Kabhi yoonhi muskurata hoon main

Kabhi yoonhi muskurata hoon main,
Kuch masti main aa jaata hoon main.

Khayalon ko kaabu karne' ki koshish mein,
Yoonhi maujon ki lehron main sama jaata hoon main.

Ek pal mein jaane' kitne' armaan aa jaate' hain,
Unn armaanon ko samajhte' samajhte',
Jaagte' hue' bhi khwab dekhta hoon main.

Haqiqat ka saamna toh roz kiya jaata hai,
Khwab bhi sote' hue' kai dekhte' hain.

Jaag kar khwab ko haqiqat mein badalne' ki junoon mein,
Zindagi ki har dard ko,
Masti bhara ahsaas bana hi deta hoon main  

Friday, August 25, 2017

Kisi na kisi ko

Kisi na kisi ko,
Kabhi na kabhi,
Kuch kehna chahta hoon.

Mausam kitna khubsoorat hai,
Hawa bhi hain masti mein,
Yeh sunana chahta hoon.

Kuch uljhan mein doob jaata hoon,
Unka jawab kya hoga?
Yeh samajhna chahta hoon.

Mann rok raha hai,
Dil magar manta nahi,
Isi kashmakash mein kho gaya hoon.

Ab mann ko kaboo kaise' karoon?
Dil se' guzarish kya karoon:?
Koi mujhe' bataa de',
Main ab intezaar kar raha hoon.

Tuesday, August 22, 2017

Jashn-e-diwali ka yeh mahaul

Jashn-e-diwali ka yeh mahaul,
Humare' dil-o-jaan ho gaye' kuch yoonhi kamaal.

Kya keh gaye' josh mein kuch yaad nahi,
Aaj ka sama hai kisi khaas jashn se' kum nahi.

Shikve' gile' toh hain badalte' mausam ki tarah,
Aaj unn badalte' mausam ko bhoola kar,
Hum mil gaye' saagar ki lehron ki tarah.

Yeh dil-e-nadaan bhi kya cheez hai,
 Kudrat ki tarah hamare' dil-o-dimag ka mahaul badalta rehta hai.

Tohfa kubool hai hamein aap sab ka,
Jo baant kar bhi kabhi kum naa ho,
Woh hai yeh pyaar aap sab ka    

Monday, August 21, 2017

Gum sum ho gaye' hain sab

Gum sum ho gaye' hain sab,
Yeh shaam bi hai kuch khamosh.

Aaj naa jaane' kya sama hai?
Bin piye' hi ho gaye' hain hum yoonhi madhosh.

Unki yaadon mein naa jaane' kaise' kho gaye'?
Naa jaane' unki yaadon mein kaise' doob gaye'?

Unn nadaniyon mein kuch aisi hi baat thi,
Jaise' chandni ki roshni mein kuch aisi hi raat thi,

Aaj bijli ki roshni tale’ hum unn andhiyaron ko yaad karte' hain,
Woh ab kahan honge'?
Yeh roshni se' sawaal karte' hain.

Saturday, August 19, 2017

Apne' doston ki jeet mein

Apne' doston ki jeet mein,
Humne' khushiyan paayi hain,
Ek naye' josh ki aarzoo paayi hai.

Maidan-e-jung mein hum bhi the’,
Jeet ki umeed hum mein bhi thi.

Magar unki jeet mein baat hi kuch aur hai,
Khushi ka woh bahana kuch aur hi hai.

Dosti ka naya andaz shayad yahi hai,
Apni khwaishen doston mein poori hoti dekh,
Khush hona shaayad dosti ka naya andaz hai.


Thursday, August 17, 2017

Tanhai mein baitha hoon

Tanhai mein baitha hoon,
Magar phir bhi akela nahi hoon.

Mere saamne' iss waqt koi nahi hai,
Magar phir bhi kisi ka saath hai.

Aaj khud se' hi guftagu kar raha hoon,
Kuch beete' hue' haseen lamhon ko yaad kar raha hoon.

Soch kar zara muskura raha hoon,
Khush ho raha hoon,
Aur hairaan bhi ho raha hoon.

Zindagi ke' iss anjaane' safar mein,
Hum auron se' kai umeedein lagayee' rehte' hain,
Shayad koi hamein kuch khushi dede',
Yeh aarzoo din raat lagaye' rehte' hain.

Kya ajeeb dastaan hai yeh zindagi bhi,
Khud hi hum khudi se' dooor ho jaate' hain.

Aaj khudi mein hi humne' ek naye' shaksiyat ko dhoond kar,
Zindagi ke' ek naye' andaaz ko dekh raha hoon. 


Wednesday, August 16, 2017

Chala gaya woh hum sab ko yaadon mein dubo kar

Composed the following as a tribute to a departed colleague:

Chala gaya woh hum sab ko yaadon mein dubo kar,
Iss ghum ke' sagar mein dubo kar.

Kya dekhe' the’ humne' bhi woh din,
Jab uski muskurahat, chaahat, aur bemisaal insaniyat,
Hamein roz chand lamhon ke' liye naseeb hote' the'.

Aaj hamari aankhon mein ashkon ki barsaat ho rahi hai,
Hamare dil-o-dimag mein mayoosi ki woh manhoos shaam dhal rahi hai.

Woh ab chala gaya hai kisi aur jahaan mein,
Yeh baat baar baar hamein,
Kaanton ki tarah chubho rahi hai.

Alvida ae' dost,
Hum tumhari yaadon ko ab apni ek jaagir samajh lenge',
Tum uss jahaan ki rauraq ban kar raho,
Har waqt uss khuda se' hum yahi dua kareinge'. .  



Monday, August 14, 2017

Sattar saal ke’ iss daur mein

On the solemn occasion of our forthcoming seventieth Independence Day, here's dedicating this composition of mine to our Nation:

Sattar saal ke’ iss daur mein,
Hamara mulk Hindustan saare’ jahaan mein,
Ek ajooba ban kar reh gaya.

Sochte’ the’ tab kuch log,
“Kya hoga iss mulk ka?
Jashn –e-azadi toh ab manaa lo,
Aage’ kya jashn manaoge’?”

Ghulami ke’ uss daur ne’,
Hamare’ mulk ko barbaad kar diya.
Jo kabhi khara sona hua karta tha,
Woh sirf ek loha ban kar reh gaya tha.

Sattar saal pehle’ mushkilein tamaan thi,
Waqt bhi tab kuch aisa hi tha,
Magar hamare’ armaan bahut khoob the’,
Aur hausle’ bhi bahut buland the’.

Apni mushakkatein, qurbanian, aur buland hauslon se’,
Humne’ apne’ mulk ko badal hi daala.

Taj Mahal ki khubsoorti ki tarah,
Qutab Minar ke' shaan ki tarah,
Ajanta ke' lajawab ki tarah,
Humne’ apne’ Hindustan ki shasksiyat ko bana hi daala.

Himalaya se’ lekar Hind mahasagar tak,
Hamari taaqat pahuncha rahi hai,
Hamare’ dushmanon ko unke’ sahi thikanon tak.

Doosri taraf hamari bemisaal mehmaan nawazi,
Bemisaal zinda dili ,
Aur raat din ek karke’ kuch haasil karne’ ke’ uss junoon ne’,
Iss jahaan ko yakeen dila hi dala ke’:
“Saare’ jaahan se’ achcha yeh Hindustan hamara”.

Friday, August 11, 2017

Hai yeh sama kuch mehka mehka sa

Hai yeh sama kuch mehka mehka sa,
Kisi ke' pyar ki goonj sunaayee' de' rahi hai.

Hum baithe' hain unka chand sa chehra dekhne' ke' liye',
Aur woh kahin dooor se' apni pyari awaaz se',
Hamein betaab kiye' jaa rahi hai.

Iss shaam ki thandi hawa apne' saath,
Raat ki rani ki mehak hum tak pahooncha rahi hai.

Aisa lagta hai ke' yeh unki zulfon ki mehak hai,
Shayad iss fiza ko apna mehak de' kar ek paigham bheja hai,
Hamein shayad haal-e-dil sunana chahti hai.

Nazron mein betaabi ki ab inteha ho gayi,
Neend aankhon ko ab sataane' lagi hai,
Magar unka woh chand sa chehra hamse' kitni dooor hai.

Sochta hoon ab apne' khwab mein unko dhoond loon,
Yeh meri zehen ka kahin dhokha toh nahi,
Kya pata aur kya khabar?  

Wednesday, August 9, 2017

Kabhi kabhi kisi ko dekh kar sochta tha,

Kabhi kabhi kisi ko dekh kar sochta tha,
Khuda ne' use’ itni shohrat aur daulat kaise' baksh di?

Kabhi kabhi khud se'  yoon poochta tha,
Mujhme' aisi kya kami reh gayi,
Jo woh kamayabi haasil nahi kar saka?

Iss soch mein ek din dooba hi tha,
Ke' kisi ki awaaz aayi,
“Aapka kuch kuch andaz mujhe' achchi lagi”.

Yeh soch kar main ek kashmakash mein padh gaya,
“Mujhme'  aisi kya baat hai jo kisi ko pasand aa gaya?
Kya mere' siwa uss shaksh ko aur koi nahi mila jo  kabil-e-tareef ho?”

Iss soch ne' mujhe' khud se' phir mila diya,
Uss parvar digar ne' har kisi ko kuch na kuch kabiliyat bakshi hai,
Iss yakeen se' achanak mila diya.

Ab kabhi kabhi yeh sochta hoon,
Kyon hum auron ko dekh kar pareshan hote' hain?
Kyon naa khud mein kuch kabiliyat dekh kar,
Jeene' ka naya andaaz dhondte' hain?           

Saturday, August 5, 2017

Raat ki iss tanhai mein


Raat ki iss tanhai mein,
Jab khwab hamari raah dekh rahein hain.

Hum khayalon mein apni,
Kuch yaadein taaza kar rahein hain.

Khwab ki duniya bhi kitni haseen hoti hai,
Armaanon ko haqiqat bana kar,
Hamein jeene' ke' naye' andaaz dete' hain.

Haqiqat ki duniya bhi kamaal ki hai,
Hum jaagte' hue' bhi kuch haasil karne' ke' khwab dekhte' hain.

Iss zindagi mein kya khwab hai aur kya haqiqat?
Yeh soch kar hum ab khwab ki duniya mein,
Kuch haqiqat dhoondne' jaa rahe' hain.


Shabba khair!!

Wednesday, August 2, 2017

Kuch khud se' hi guftagu karne' ki sochi humne'

Kuch khud se' hi guftagu karne' ki sochi humne',
Kisi se' kuch bhi nahi kehne' ki sochi humne'.

Kya karna hai apni dil-e-dastaan auron se' baant kar,
Yeh ajeeb baat aaj yoonhi sochi humne'.

Khud se' guftagu kar dekh kar,
Mere' kuch aziz pareshan se' ho gaye'.

Shayad mere' dimagi haalat theek nahi,
Yeh baat sochi unhone'.

Kya kahun ab apne' hi azizon ki,
Kuch kahun unse' ya naa kahun,
Yeh sawaal ab naa jaane' kaise' sochi humne'.