Composed the following as a tribute to a departed colleague:
Chala gaya woh hum sab ko yaadon mein
dubo kar,
Iss ghum ke' sagar mein dubo kar.
Kya dekhe' the’ humne' bhi woh din,
Jab uski muskurahat, chaahat, aur
bemisaal insaniyat,
Hamein roz chand lamhon ke' liye naseeb
hote' the'.
Aaj hamari aankhon mein ashkon ki
barsaat ho rahi hai,
Hamare dil-o-dimag mein mayoosi ki woh
manhoos shaam dhal rahi hai.
Woh ab chala gaya hai kisi aur jahaan
mein,
Yeh baat baar baar hamein,
Kaanton ki tarah chubho rahi hai.
Alvida ae' dost,
Hum tumhari yaadon ko ab apni ek jaagir
samajh lenge',
Tum uss jahaan ki rauraq ban kar raho,
Har waqt uss khuda se' hum yahi dua
kareinge'. .
No comments:
Post a Comment