Kabhi kabhi kisi ko dekh kar sochta tha,
Khuda ne' use’ itni shohrat aur daulat
kaise' baksh di?
Kabhi kabhi khud se' yoon poochta tha,
Mujhme' aisi kya kami reh gayi,
Jo woh kamayabi haasil nahi kar saka?
Iss soch mein ek din dooba hi tha,
Ke' kisi ki awaaz aayi,
“Aapka kuch kuch andaz mujhe' achchi lagi”.
Yeh soch kar main ek kashmakash mein
padh gaya,
“Mujhme'
aisi kya baat hai jo kisi ko pasand aa gaya?
Kya mere' siwa uss shaksh ko aur koi
nahi mila jo kabil-e-tareef ho?”
Iss soch ne' mujhe' khud se' phir mila
diya,
Uss parvar digar ne' har kisi ko kuch na
kuch kabiliyat bakshi hai,
Iss yakeen se' achanak mila diya.
Ab kabhi kabhi yeh sochta hoon,
Kyon hum auron ko dekh kar pareshan
hote' hain?
Kyon naa khud mein kuch kabiliyat dekh kar,
Jeene' ka naya andaaz dhondte' hain?
No comments:
Post a Comment