Jashn-e-diwali ka yeh mahaul,
Humare' dil-o-jaan ho gaye' kuch yoonhi
kamaal.
Kya keh gaye' josh mein kuch yaad nahi,
Aaj ka sama hai kisi khaas jashn se' kum
nahi.
Shikve' gile' toh hain badalte' mausam ki
tarah,
Aaj unn badalte' mausam ko bhoola kar,
Hum mil gaye' saagar ki lehron ki tarah.
Yeh dil-e-nadaan bhi kya cheez hai,
Kudrat ki tarah hamare' dil-o-dimag ka mahaul
badalta rehta hai.
Tohfa kubool hai hamein aap sab ka,
Jo baant kar bhi kabhi kum naa ho,
Woh hai yeh pyaar aap sab ka
No comments:
Post a Comment