Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Wednesday, January 31, 2018

Ek din mere' zehen mein se' yeh awaaz nikli

Ek din mere' zehen mein se' yeh awaaz nikli,
"Insaan ko ishq sikhane' waala kaun hai?
Iss ishq ke' zariye' kaiyon ko torhne' (break) waala kaun hai?"

Kehte' hain, mohabbat toh Khuda ka doosra naam hai,
Ek pak mohabbat bhare' dil mein Khuda ka darbaar hai.

Iss jahaan mein Khuda ko toh kai maante' hain, yeh toh zahir hai,
Magar wahi Khuda ke' iss darbaar ko torhne' (break) mein bhi mahir hain.

Phir woh Khuda ke' bande' kaise' hua karte' hain?
Jo Khuda ko mankar unke' darbar ko torha karte' hain.

Sadiyon se' yeh kisse' chale' aa rahe' hain,
Mohabbat bhare' dil tootate' chale' aa rahe' hain.

Kuda sirf mandiron ya masjidon mein hi nahi raha karte',
Woh toh mohabbat bhare' dilon mein bhi basa karte' hain.

Kaash! Koi duniya waalon ko yeh samajha de'! 

Tuesday, January 30, 2018

Tumhe' dekh kar main iss soch mein padh jaata hoon

This was composed by me during my college days:

Tumhe' dekh kar main iss soch mein padh jaata hoon,
Main koi khwab dekh raha hoon ya koi haqiqat,
Mere saamne' koi chand hai ya sang-e-marmar ki koi murat,
Akhir kahan se' payee ho aisi haseen surat?

Jiss Khuda ne' tumhe' banaya uss Khuda ko salaam,
Jinn haathon ne' tumhe' sajaaya unn haathon ko salaam,
Aur jiss waqt mein tum bani uss waqt ko salaam.

Tumhari shaksiyat se' shayad Taj Mahal bhi sharma jaaye',
Tumhari aankhon ko dekh kar shayad heere' bhi chamakna bhool jaayein,
Tumhari chaal se' shayad hirni bhi chakra jaaye',
Tumhari boli sunkar shayad sur bhi besur ho jaayein,
Aur tumhari saanson se' shayad phool bhi apni mehak chorh dein.

Jitni bhi mere' nazron se' dooor hona chahogi,
Utni hi mere' dil ke' kareeb aa jaaogi,
Maine' tumhe' apne' dil mein umar qaid ki sajaa di hai,
Jisse'  riha karna ab namumkin hai.

Tumhe' apni mallika-e-zindagi bana loon, ab yahi khwaish hai,
Ise' kubool kar lo, 
Mere' dil ki ab yahi guzaarish hai.
Agar tum nahi toh kuch bhi nahi,
Yeh zindagi ab zindagi hone'  se' rahi.
   

Monday, January 29, 2018

Inaayat ki joostaju ki thi unse'

Inaayat ki joostaju ki thi unse',
Kuch zyaada toh nahi maanga tha.

Thodi si chaahat ki arzoo ki thi unse',
Kuch zyaada toh nahi maanga tha.

Unki nazron mein kuch alagh hi nazaare' the',
Yeh baat unse' nahi kaha tha.

Nazron mein unki kuch alag hi nazaare' the', 
Yeh baaat bhi unse' nahi kaha tha.

Magar unki nazaron mein ab tak hum inaayat dhoondte' rahe',
Kya yeh humara diwaanapan tha?

Thursday, January 25, 2018

Humne' maana tha ek masiha unhe'

Humne' maana tha ek masiha unhe',
Lagai thi kai umeedein unse'.

Magar achanak woh naa jaane' kahaan kho gaye',
Aur humein yoon bebus chorh (leave) kar,
Naa jaane' woh kahaan chale' gaye.

Iss zindagi ki yahi dastaan hai,
Aane' jaane' walon ki yeh ek khunbsoorat gulistan hai.

Yahan kai gul khilkar murjha jaate' hain,
Magar kuch murjha kar bhi,
Hamare' dilon mein khile' hi rehte' hain.

Shayad woh bhi aise' hi gulon mein se' ek hain,
Jo khilkar hi toh kya,
Murjhakar bhi hamare' iss dil-e-gulistan mein,
Koi bemisaal raunaq chorh (leave) jaate' hain.     

Wednesday, January 24, 2018

Unme' talaash kiye' humne, Hazaar khwaishon ki junoon mein,

Unme' talash kiye' humne',
Zindagi ke' kuch haseen lamhe',
Sitam toh dekhiye' woh anjan bankar aaye' hain.

Unme' dhoondhi thi zindagi ki haqiqat humne',
Sitam toh dekhiye',
Woh khwab bankar aaye' hain.  



Hazaar khwaishon ki junoon mein,
Humne' saari umar guzaar di,
Aur ek badshahi mahal ki junoon ne',
Humein sirf ek ujre' mazaar di.

Inn hazaar khwaishon ne',
Meri saari zindagi haraam ki,
Magar iss ujre' mazaar ne',
Mujhe' beintaha araam di.

Tuesday, January 23, 2018

Intezaar

Intezaar ne' sabko apna mehmaan banaya hai,
Kisi ko kisi manzil ka intezaar hai,
Kisi ko Khuda ko paane' ka intezaar hai,
Toh kisi ko apne' humsafar ka intezaar hai.

Kisi ne' yeh kya khoob kaha hai ,
"Intezaar ka phal meetha hota hai."

Magar woh kya jaane'?
Ke' iss intezaar ke' peeche',
Kitni bechainiyan hain chupi,
Kitni tanhaiyan hai chupi,
Aur kitni ruswaiyan hai chupi.

Ek shayar ne' bhi kya khoob kaha hai,
"Kabhi kisi ko muqammal jahaan nahi milta,
Kahin zameen toh kahin asmaan nahi milta."

Zindagi kisi shayar ki shayari nahi,
Yahan achche achchon ki hain ashkein (tears) bahin.

Intezaar ki yeh kaali raat guzaarne' waale' ae dost,
Iss kaali raat mein umeed ka ek shamma jaala lo,
Aur iss raat ke' baad,
Uss aane' waale' ujaale' ko apna muqaddar bana lo.

Kyonke' ho sakta hai ke jahan,
Intezaar ne' sabko apna mehmann banaya hai,
Wahan kisi kisi ko,
Apni mehman nazwazi ka andaz bhi sikhaya hai. 

Friday, January 19, 2018

Iss josh bhari zindagi ki kya baat karoon?

Iss josh bhari zindagi ki kya baat karoon?
Jahan dekho, sirf suhani shaam hai,
Ise' ab raat kaise' kahoon?

Jee chahta hai ab insaan toh kya,
Khud taqdeer ko hi takkar de' doon,
Inn beetate' hue' palon ki kaun parvah kare'?

Kho gaye hum apni hi iss junoon mein.
Ab anjaam ki parvah kaun kare'?

Naa janane' yeh kaisa junoon hai?
Mann mein hai kashmakash,
Magar ab dil mein sukoon hai.

Sach, iss josh bhari zindagi ki kya baat karoon?
Jahaan dekho sirf suhaani shaam hai,
Ise' ab raat kaise' kahoon?

Thursday, January 18, 2018

Tha woh sama jab apne' hamein hamsafar maana tha

Composed the following  on the occasion of silver jubilee wedding anniversary of a dear friend and his better half:

Tha woh sama jab apne' hamein hamsafar maana tha,
Tha woh mausam jab humne'  aapko apna maana tha.

Naa jaane' kin kin manzilon ko haasil karte' karte',
Aap aur hum zindagi ki raah mein chalte' gaye'.
Aapke' haath mein apna haath sama kar,
Kari dhoop ko bhi shaam mein badlate' gaye'.

Kehte' hain, aaj aapki iss inayat ko 25 saal beet gaye',
Aap aur hum dekhte' hi reh gaye',
Aur hum dono do se' chaar mein badal gaye'. 

Ab aur kya maangein uss khuda se'?
Jabse' meri zindagi mein aap aaye',
Lagne' lagi yeh duniya nayi,
Ab naa koi shikva naa gila,
Zindagi ki har manzil hai nayi.  


Tuesday, January 16, 2018

Gaye' the' hum kisi ke' ghum mein shaamil hone'

Gaye' the' hum kisi ke' ghum mein shaamil hone',
Socha tha humne' bhi jo gaya so gaya,
Yeh zindagi toh aane' jaane' ka doosra naam hai,
Jo guzar gaya so beet gaya.

Magar wahan pahunchkar naa jaane' kaise',
Main  unn beete' hue' palon mein kho gaya,
Uss marhoom ki woh tasveerein dekhkar,
Udasi ke' sagar mein doob gaya.

Haan, humein bhi yeh khabar thi ke',
Zindagi toh chali chalti hai,
Humare' naa chahte' hue' bhi,
Kabhi kuch ghum-e-dastaan sunati hai.

Magar aakhir kab tak inn khayalon mein,
Hum yoonhi khoye' raheinge'?
Ghum aur khushi shayad din aur raat ke' doosre' naam hain,
Jinhe' apne' apne' andaaz mein kubool karna,
Hum sab ke' liye uss Parvar Digar ke' paigham hain. 
   

Monday, January 15, 2018

Kuch woh khamosh hain

Kuch woh khamosh hain,
Kuch hum gun guna rahe' hain.

Kuch unki nazrein ishaare' kar rahi hain,
Kuch hum kehne' ki koshish kar rahe' hain.

Baat kuch khaas nahi hai,
Bas kuch hum dono ke' jazbaat khel rahe' hain.

Kyon nahi woh himmat kar rahe' hain?
Magar hum bhi toh hichkicha rahe' hain.

Hum dono ke' beech ka faasla zyada nahi hai,
Phir bhi zamaane' se' kuch darr rahe' hain,

Aaj ki shaam ne' bhi yeh samajh liya hai,
Chandani ki roshni se' hum dono yoonhi chamak rahe' hain.

Shayad kisi bhi pal hum himmat kar hi daalenge',
isi umeed se' yeh pal kitni mushkil se' hum guzaar rahe' hain. 

Friday, January 12, 2018

Socha tha humne' bhi kuch bankar dikhayeinge

Socha tha humne' bhi kuch bankar dikhayeinge',
Iss jahan mein shohrat kama kar dikhayeinge'.

Iss junoon ko lekar hum guzaarte' rahe',
Zindagi ke' kuch haseen pal.

Sochte' rahe' har waqt,
Aaj toh aise' ya waise' beet hi jaayega,
Magar shandaar  hoga woh kal.

Din raat mushakkat (labour) karte' rahe',
Auron ko hairat karte' rahe'.

Khud ko hi naa jaane',
Kitne' chunaoutiyan dete' rahe'.

Sirf iss umeed mein,
Shayad woh kal, kal hi aa jaaye',
Aur iss jahaan mein mera bhi ek naam ho jaaye'.

Magar  mere' taqdeer ko naa jaane' kya manzoor tha,
Ek naamwaala hokar bhi har jagah mein anjaan hoon.

Magar ab toh khudi ko yoon buland kiya hai,
Kal nahi toh parson,
Khuda mujhse' yeh pooch hi daalega,
"Bol teri raza kya hai?"


Wednesday, January 10, 2018

Iss jahan mein naa jaane kitne' gham hain,

Iss jahan mein naa jaane kitne' gham hain,
Aur hum apne' ghamon ko hi rote' hain.

Naa jaane' kis kis ko kya kya musibat hai,
Aur hum apne' musibaton ko hi rote' hain.

Rozana ki zindagi bhi kya kashmakash hain,
Yeh koi hamare' saathiyon se' toh pooche'.

Yeh jaankar bhi hum kitne' anjaan hain,
Shayad hum apne' aaraam ko hi rote' hain.

Kal ke' akhbaar mein humne' kisi par koi kayamat aate' padha (read),
Kuch pal toh humara bhi dil dukh se' bhar gaya.

Magar aaj hum uss kayamat se' anjaan ho gaye',
Khuda ke' anjaan duaein (blessings) paakar bhi,
Hum naa jaane' kitne' anjaan duaon ko taraste' hain.

Shayad kal ke' akhbaar mein,
Naa jaane' kitne' kayamaton ka zikr ho.

Shayad pal bhar ke' liye hamare' mann mein bhi,
Unn tamam badnaseebon ka fikr ho.

Magar phir bhi,
Hum apne' hi gham ko rote' hain,
Kyonke' Khuda ke' anjaan duaein paakar bhi,
Hum naa jaane kitne' anjaan duaon ko taraste' hain.




Tuesday, January 9, 2018

Zindagi taqdeer ke haathon kitni majboor hai

Zindagi taqdeer ke haathon kitni majboor hai,
Ek qaid parinde' ki tarah pharphara rahi hai.

Jee chahta hai,
Urr (fly) kar chand taaron ko choo lein,
Aur iss saare' jahaan ko peeche' chchor dein.

Magar yeh paair (legs),
Magar yeh paair (legs) ek perh (tree) ki tarah zameen pe hi arhe' (fixed) hain.

Baar baar tarasti hui nazron se' aasmaan ko dekhta rehta hoon mein,
Baar baar use' awaazein deta rehta hoon mein,
Ek chumbak ki tarah mujhe' apni taraf kheench lo,
Iss tarah yahaan rehte' rehte' ab oob gaya,
Mujhe apni taraf kheench lo.

Aasman se' koi jawab nahi milta hai,
Ek sharati bachche' ki tarah mujhe' lalkarta hai.

"Himmat hai, toh mujhe' aakar choo lo,
Varna mujhse' haar maan jao."

Aur mein sirf tarsti hui nazron se' aasmaan ko dekhta rehta hoon.

Sach, yeh zindagi taqdeer ke haathon kitni majboor hai,
Ek qaid parinde' ki tarah pharphara rahi hai.   

Saturday, January 6, 2018

Zindagi ki raah par chala chal

Zindagi ki raah par chala chal,
Apne' khwabon ko haqiqat banane' ke' junoon mein chala chal.

Yahan kai kaante' kai pathar milenge',
Magar tu iski parvah naa kar aur chala chal.

Manzil ki pehchan kar aur apni raah banata chal,
Raah naa mile' toh apna vishwas banata chal.

Yahan kisi kisi ko milte' hain apne' khwabon ki duniya,
Tu iss duniya mein apne' khwab sajata chal.

Inn raahon mein chalte' chalte' toot jaate' hain ache' achon ke' honsle',
Tu Himalyala se' bhi oonche' honsle' banata chal.

Himmat harne' waale' toh kai milte' hain,
Tu bemisal himmat ki ek misal banata chal.

Aur iss tarah zindagi ki raah mein chala chal.
Apne' khwabon ko haqiqat banane' ke' junoon mein chala chal.