Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Tuesday, January 23, 2018

Intezaar

Intezaar ne' sabko apna mehmaan banaya hai,
Kisi ko kisi manzil ka intezaar hai,
Kisi ko Khuda ko paane' ka intezaar hai,
Toh kisi ko apne' humsafar ka intezaar hai.

Kisi ne' yeh kya khoob kaha hai ,
"Intezaar ka phal meetha hota hai."

Magar woh kya jaane'?
Ke' iss intezaar ke' peeche',
Kitni bechainiyan hain chupi,
Kitni tanhaiyan hai chupi,
Aur kitni ruswaiyan hai chupi.

Ek shayar ne' bhi kya khoob kaha hai,
"Kabhi kisi ko muqammal jahaan nahi milta,
Kahin zameen toh kahin asmaan nahi milta."

Zindagi kisi shayar ki shayari nahi,
Yahan achche achchon ki hain ashkein (tears) bahin.

Intezaar ki yeh kaali raat guzaarne' waale' ae dost,
Iss kaali raat mein umeed ka ek shamma jaala lo,
Aur iss raat ke' baad,
Uss aane' waale' ujaale' ko apna muqaddar bana lo.

Kyonke' ho sakta hai ke jahan,
Intezaar ne' sabko apna mehmann banaya hai,
Wahan kisi kisi ko,
Apni mehman nazwazi ka andaz bhi sikhaya hai. 

No comments:

Post a Comment