Search This Blog ndcomposes.blogspot.in

Tuesday, January 30, 2018

Tumhe' dekh kar main iss soch mein padh jaata hoon

This was composed by me during my college days:

Tumhe' dekh kar main iss soch mein padh jaata hoon,
Main koi khwab dekh raha hoon ya koi haqiqat,
Mere saamne' koi chand hai ya sang-e-marmar ki koi murat,
Akhir kahan se' payee ho aisi haseen surat?

Jiss Khuda ne' tumhe' banaya uss Khuda ko salaam,
Jinn haathon ne' tumhe' sajaaya unn haathon ko salaam,
Aur jiss waqt mein tum bani uss waqt ko salaam.

Tumhari shaksiyat se' shayad Taj Mahal bhi sharma jaaye',
Tumhari aankhon ko dekh kar shayad heere' bhi chamakna bhool jaayein,
Tumhari chaal se' shayad hirni bhi chakra jaaye',
Tumhari boli sunkar shayad sur bhi besur ho jaayein,
Aur tumhari saanson se' shayad phool bhi apni mehak chorh dein.

Jitni bhi mere' nazron se' dooor hona chahogi,
Utni hi mere' dil ke' kareeb aa jaaogi,
Maine' tumhe' apne' dil mein umar qaid ki sajaa di hai,
Jisse'  riha karna ab namumkin hai.

Tumhe' apni mallika-e-zindagi bana loon, ab yahi khwaish hai,
Ise' kubool kar lo, 
Mere' dil ki ab yahi guzaarish hai.
Agar tum nahi toh kuch bhi nahi,
Yeh zindagi ab zindagi hone'  se' rahi.
   

No comments:

Post a Comment